Baith Jata Hai Wo

Baith Jata Hai Wo Jab Mehfil Main Aa Ke Samne
Main Hi Bas Hota Houn Us Ki Is Adaa Ke Samne

Taizz Thi Itni Ke Sara Shehar Soona Kar Gayi
Dair Tak Baitha Raha Main Us Hawa Ke Samne

Raat Ik Ujhre Makaan Par Ja Ke Jab Awaz Di
Gounj Uthe Baam-o-Dar Meri Sada Ke Samne

Wo Rangela Haath Mere Dil Pe Aur Uss Ki Mehak
Shama-e-Dil Bujh Si Gayi Rang-e-Hina Ke Samne

Main Tou Uss Ko Dekhte Hi Jaise Pather Ho Gia
Baat Tak Mou Se Na Nikli Bewafa Ke Samne

Yaad Bhi Hein Aey Munir Uss Shaam Ki Tanhaiyaan
Aik Maidaan, Ik Darakht Aur Tu Khuda Ke Samne