Shehar Ke Dukandaro

Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein
Sood Kia Zian Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Dil Ke Daam Kitne Hein Khuwab Kitne Mehnge Hein
Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Koi Kaisay Milta Hai Phool Kaisay Khilta Hai
Aankh Kaisay Jhukti Hai Saans Kaisay Rukti Hai

Kaisay Reh Nikalti Hai Kaisay Baatein Chalti Hai
Shouq Ki Zabaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Wasl Ka Sukoon Kya Hai, Hijr Ka Junoon Kya Hai,
Husn Ka Fusoon Kya Hai, Ishq Ke Daroon Kya Hai

Tum Mareez-E-Danai Maslihat Ke Shaydai
Raah-E-Gumrahan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Zakhm Kaisay Phaltay Hein Daagh Kaisay Jaltay Hein
Dard Kaisay Hota Hai Koi Kaisay Rota Hai

Ashq Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia
Aah Kia Fughaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein
Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein

Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai
Zeest Be-Umaan Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai
Shaksiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai

Phir Bhi Harf Chuntay Ho Sirf Lafz Suntay Ho
In Ke Darmiyaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron