Faraz Shayari Collection

Faraz  Shayari Collection

Main Ne Yeh Soch Ker Tasbhi He Tor Di Faraz…..!
Kia Gin Gin Ker Mango Us Se Jo Behisab Deta Hai…..
========================================================
Haseen Yadoon K Kuch MauSaM Ussey Arsaal Krney Hein FARAZ!
SuNa Hai Shub Ko Tanhai Ussey Soney Nahi Deti.~!

========================================================
Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur Bikhar Gaya Faraz
Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath …

========================================================
Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe Faraz
Chal Diye Usi Mitti Main Jis Ki Hum Amanat Thay …

========================================================
Bin Maange Hi Mil Jati Hyn Taabeerai’n Kisi Ko Faraz
Koi Khaali Haath Reh Jata Hy Hazaro’n Duao’n K Baad

========================================================
Dil K Rishto’n Ki Nazaka wo Kia Janey ‘Faraz’
Naram Lafzo’n Se Bhi Lag Jati Hyn Chotai’n Aksar

========================================================
Us Ne Mujhe Chhor Dia To Kia Hua Faraz…
Meine B To Chora Tha Sara Zamana Us K Liye…

========================================================
Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,
Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aagaye,
Chor k dunya ko madhosh huye thy hum,

Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,
Na janay kis se pucha hai wafa na pata mera,

Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye,
Hum to andhere main sonay k aadi they,

Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye.
Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz!

Mar gaye hain to ab qabar pe aansu

Very Last Ghazal Of Ahmed Faraz

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi
Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari
Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi
Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass
Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi
Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans
Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi
========================================================
Wo Dhoondte Rahay Hame Idhar Udhar Shayad Unhe Hamari Taalash thi,
FARAZ
Par Afsoos Jis Qabar ParThay Qadam Unk Usi Mein Humari Laash Thi

========================================================
main simtnay k liye hr bar tum se milta hon fraz ….
tum se milta hon to kuch or bikhar jata hon


========================================================
  ‘Taash Ke Paton ki Manind hai Zindage Meri..
~.FARAZ .~

‘Jis Kisi ne bhi Khela Taqseem Kar Diya Mujhey..!
========================================================
Uss Se Milte Hee Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
FARAZ
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga

 ========================================================