Wo Log Hi Qadmon Se Zamin Cheen Rahay Hain


Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain
Jo log mere qad k barabar nahi aatay

Ik Tum, k Tumhare liye Main bhe,Meri jan bhe
Ik Main, k Mujhe TUM bhe muyassar nahi aatay

Jis shaan se lotay hain ganwa kar Dil-o-Jan hum,
Is tor to Haaray hue Lashkar nahi aatay

Koi to khabar lay mere dushman-e-jaan ki,
Kuch din se mere sehan main pathar nahi atay

Dil bhi koi aasaib ki nagri hai ke MOHSIN
Jo is se nikal jatay hain, murr kar nahi aatay

Nishan Tak Na Milain Gae Meri Wafa K Usay


Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay,
K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usay!

Kabhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Main ne Dil Laga K Usay!

Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usay!

Mujhy Yaqeen Hai Wo Laut Kar Bhi Ayega,
Magr Udaas Hun Ab Raasta Dikha K Usay

Pukarta Hoon To Janay Kahan Say Aatay Hain

Pukarta hoon to janay kahan say aatay hain
woh haath mujh ko bachanay kahan say aatay hain

umeed kaisay jazeeray talash karti hai
samandron mein thikanay kahan say aatay hain

zameen apnay khazanay lutati rehti hai
magar zameen mein khazanay kahan say aatay hain

sukhan mein kis tarah aatay hain aks khwahish kay
nazar mein aaina khanay kahan say aatay hain

kahan say aatay hain shakhon peh Barg-o-Gul
shajar ko ranng bananay kahan say aatay hain

Such hi kaha tha kisi ney



Such hi kaha tha kisi ney Tanha jeena seekh,
Mohabbat Jitni bi suchi Ho sath chor jaati ha.!

Jis ko bhi daikha hai rotay howe daikha



Jis ko bhi daikha hai rotay howe daikha hai

Ye mohabbat kisi tissue company ki saaszish to nahi.....