Haar pehnanay mujhe phool say baazu aaye



Waqt-E-RuKhsat kaheen taaray kaheen jugnu aaye
Haar pehnanay mujhe phool say baazu aaye

Bas gayi hai meray ehsaas mein yeh kaisi mahek
koi Khushbuu main lagaaoon teri Khushbu aaye

Main nay din raat Khuda say yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar pay meray aur tu aaye

Us ki baatein kay gul-o-laala pay shabnam barsay
Sab ko apnaanay ka us shouKh ko jaadu aaye

In dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai
ShouKh khaaya hua jaisay koi aahu aaye

Us nay chu kar mujhe patthar say phir insaan kiya
Muddaton baad meri aankh mein aansoo aaye

Mere Aalfaaz main dhalti teri soorat hi rahi,

Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi,
Mere Aalfaaz main dhalti teri soorat hi rahi,

Zehen kehta tha teri shakl bhula kar rakh dun,
Par mere dil ko sada mujh se baghawat hi rahi,

Dushman-e-jan bhi mujhe jan se mehboob raha,
Teri ulfat ki mere dil pe hakomat hi rahi,

Yun to jo chaha zamane me mila mujh ko
Phir bhi aa dekh mujhe teri zaorat hi rahi....

Mene Boi Hai Har Ik Mor Pe Nafrat Lekin


Ik Shaair B Hun, Musawir B Hun, Fankar B Hun,
Agar Hun Nazuk sa Koi Phol To Talwar B Hun.

Mene Boi Hai Har Ik Mor Pe Nafrat Lekin,
Main Muhabbat k Gulistan Ka Kharidar B Hun.

Ho Agar yar Ghalat To Men usay Rokta Hun,
Haq Pe Dushman Ho To Dushman Ka Tarafdar B Hun.

Jurm Har Shakhs Se Be-lose Muhabbat Hy Agar,
Phir To Ye Sach Hai K Men 1 Khata Kar B Hun.

Men Wo Ghafil Hun Jisay Umar Ka Ehsas Nhi,
ik ik Pal Ki Khabr Rakhta Hun Bedar B Hun.

Itna Aazad, K Aakash Ko Chu Sakta Hun,
Aik Choti si Tamanna Men Giraftar B hun.

Mera andaz-e-tabiat bhi kuch nirala hy,
Bewafa b hun bht or wafadar b hun..

Hum Bulaen To Unhien Kaam Nikal Aaty Hain

Be'Sabab Youn Hi Sar-E-Sham Nikal Aaty Hain,
Hum Bulaen To Unhien Kaam Nikal Aaty Hain,

Koi Hamein Shoq To Nahi Hai Aawargi Ka,
Hum to Unki Galiyon Mein Un Se Honay Hamkalaam Nikal Aaty Hain,

UnKi Jafaon Ke Zakham Khatay Rahey Hain Kuch Is Tarah,
Ke Raat Ka Andhera Charhtay Hi Dard Tamam Nikal Aaty Hain,

Kya Btaun In Hussan Walon Ki Tumhien ,

Hum Bulaen To Parda,

Warna! Sar-E-Aam Nikal Aaty Hain...!!

Tujh Se Gar Badgumaan Ho Jaatay


Chup Na Rehtay Bayaan Ho Jaatay
Tujh Se Gar Badgumaan Ho Jaatay

Zabt-e-Gham Ne Bachaa Lia Warna
Hum Koi Daastaan Ho Jaatay

TU Ne Dekha Nahee Palat Ke Hamain
Warna Hum Meherbaan Ho Jaatay

Tere Qissay Mein Hum Bhala Khud Se
Kis Lye Badgumaan Ho Jaatay

Tere Dil Ki Zameen Hee Na Mili
Warna Hum Aasmaan Ho Jaatay

Honton Par Mere Aaj Bhi Faryaad Nahi Hai

Muddat Se Mera Dil Hai Ke Aabad Nahi Hai
Honton Par Mere Aaj Bhi Faryaad Nahi Hai

Rehta Hai khayaalon Main Merey Aik Hi Chehra
Bas Iss Ke Siwa Kuch Bhi Mujhay Yaad Nahi Hai

Dekha Hai Ujarte Howay Kitnay Hee Gharon Ko
Hai Kon Jo Is Ishq Main Barbaad Nahi Hai

Aik Laher Si Uth’ti Hai Aaj Bhi Dil Main Meray
Iss Laher Ke Uthnay Ka Sabab Yaad Nahi Hai

Na Wafa'en Badlti Hain

Na Sada'en Badlti Hain,
Na Wafa'en Badlti Hain,

Kuch Logon Ki Bas Ada'en Badlti Hain,
Toot Jata Hai Bana Banaya Aashyana Ik Pal Main,

Jab Mosmon Ki Tarah Hawa'en Badalti Hain,
Apna Sab Kuch De Dete Hain Hum Chahat Me,

Najane Phir Bhi Q Logon Ki Nigah'en Badlti Hain.....

Sab Kahen Ghair Hai

Aik Anjaan ko Main Jaan-e-Tamanna Samjhon
Sab Kahen Ghair Hai Par Main Usse Apna Samjhon

Lab Na khul Paayen Agar Woh Ho Muqabil Mere
Yeh Uss Ke Hussnn Ka Chota Sa Karishma Samjhon

Ik Pal Ko Bhi Uss Ke Pyaar Ki Baarish Joh Ruke
Main Samandar ko Bhi So Saal Ka Pyasa Samjhon

Faayda Koi Nahin Uss Ke Bina Mehfil Mein
Raunak-e-Bazm Kisi Ko Joh Uss Ke Ilaawa Samjhon

Uss Ke Chehre Ne Mujhe Daal Diya Hai Mushkil Mein
Main Usse Chaand Saa,Yaah Chaand Ko Uss Sa Samjhon

Saans lena bhi kaisi aadat hai


Saans lena bhi kaisi aadat hai
Jiye jana bhi kya rawayat hai

Koi aahat nahi badan mein kahin
Koi saya nahi hai aankhon mein

Paaon be his hain chalte jaate hain
Ik safar hai jo behta rehta hai

Kitne barson se kitni sadiyon se
Saans lete hain jeete rehte hain.

Yeh log bhi kya log hain


Iss dard ki dunya se guzar kyun nahi jaate
Yeh log bhi kya log hain marr kyun nahi jaate

Hai koun zaamane mein mera poochne waala,
Nadaan hai jo kehte hain keh ghar kyun nahi jaate

Sholey hain tau kyun inn ko bharkte nahi dekha,
Hain khaak tau raahon mein bikhar kyun nahi jaate

Aansoo bhi hain aankhon mein duayein bhi hain labb per,
Bigrey huwe halaat sanwar kyun nahi jaate.
"Qaid Kr Diya Saperon Ne Sanpon ko Ye Keh Kr,

Armann..

Insan Hi Kafi Hai Insan K0 Dasney K Liye"..!! :(

ek chotii sii Gujaarisss....


Saadgi Mein Bhi, Kamaal Lagte Ho............
Tum Mera Kitna, Khayaal Rakhte Ho.........

Laboon Par Aik Hi, Sawaal Hai Zaahir...............
Kaho Na Hum Se, Kitna Pyaar Karte Ho.............


Tumhaare Bin Zindagi To, Zindagi Hi Nahi.........
Dil Mein Jagah Itni, Khaas Rakhte Ho................

Lagta Nahi Ye Dil, Ab Tum Bin......................
Jaana Qayamat Si, Misaal Rakhte Ho….......!!