Beqarari Hai


Beqarai Si Beqarari Hai
Wasl Hai Aur Firaaq Taari Hai

Jo Guzaari Na Ja Saki Hum Se
Hum Ne Woh Zindagi Guzari Hai

Us Se Kahiyo Kay Dil Ki Galion Mein
Raat Din Teri Intezari Hai

Ik Mehak Samt-e-Jaan Se Aai Thi
Main Yeh Samjha Teri Sawari Hai

Haadison Ka Hisab Hai Apna
Warna Har Aan Sab Ki Baari Hai

Bin Tumhare Kabhi Nahi Aai
Kya Meri Neend Bhi Tumhari Hai?

Eid Ka Din Hay


Eid Ka Din Hay Dhola Jaldi Ghar Aaja
Kuch Baatain Apni Mubahat Ki Bata Ja

Mujhay Apnay Galay Say Laga Ja
Mujhay Apnay Dil Ki Dharkan Suna Ja

Dhola Apnay Haatoh Ki Mehndi Dikha Ja
Zamanay Ko Muhabat Ka Rang Dikha Ja

Dhola Tu Aaja Meri Eid Kara Ja
Apni Baaho May Muj Ko Araam Kara Ja

Apni Choriu Ki Khobsorat Khanak Tu Suna Ja
Dhola Tu Aaja Galay Say Laga Ja Meri Eid Kara Ja

Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi


Yeh Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi
Baray Naz Say Tu Nay Manai Ho Gi

Haseen Hath Pe Maehndi Bhi Lagai Ho Gi
Nazuk Labon Ko Gulab Kia Hoga

Narm Si Kalai Chorion Se Sajai Hogi
Sitare Bhi Tanke Hon Ge Tum Ne Mang Mein Apni

Marmry Paon Mein Pazeeb Pehni Hogi
Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Hoga

Rukhsaron Lali Bhi Bikhri Hogi
Ajab Si Khushi Se Dil Dharka Hoga
Koi Chahne Wala Jab Eid Mila Hoga

Ek Aur Eid B Guzer Gai


Lo Ek Aur Eid B Guzer Gai Aisey
Sadiyon Se Chali Aa Rehi Hai Jesey

Wo Udasi, Wohi Yadein, Wohi Tanhai
Mili Hi Kab Thi Hamein In Se Rehai

Mehboob B Hai Naraz Sa Rootha Hua
Her Rishta B Hai Aisey Hi Utha Hua

Bohat Khush They Loag Chand Daikh Ker
Hum Udas Us Mein Mehboob Daikh Ker

Maan Liya Mehboob Se Ziadti Hum Ne Ki
Per Ganwa Liya Her Rishta Dey Ker Jan B

Kuch Anjan Rishtey Chaha Tha Barh Ker Jan Se
Han Chorr Gaey Wo B Be-Wafa Maan K

Isi Sadmey Mein Her Khushi Guzer Jati Hai
Kiya Cheez Hai Muj Mein, Jo Mujey Hi Rulati Hai

Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehna K Lout Aao Suna Hai Eid Aai Hai
Ek Baar To Aa K Mil Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Bin Tere Bohat Eiden Guzari Hai
Is Baar To Milne Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana Judai Se Mohabbat Kam Nahi Hoti
Ye Dunya Ko Batla Jaao K Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Chahat Ka Bharam Na Totne Dena
Tum Pal Do Pal Hi Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Tanha Hai Koi Eid K Din Bi
Ye Tanhai Mita Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Chand Meri Kherki Mein Aye


Chand Kabhi Tu Taron Ki Is Bheer Se Nikle

Aur Meri Kherki Mein Aye
Bilkul Tanha Aur Akela

Mein Us Ko Bahon Mein Bharlon

Aik Hi Sans Mein Sab Ki Sab Wo Baatein Karlon
Jo Mere, Talo Se Chemti

Dil Mein Semti Rehti Hain

Sab Kuch Aise Ho Jaye, Jab Hai Na!

Chand Meri Kherki Mein Aye, Tab Hai Na!

Mere Hathon Mein Hai


Mere HATHON Mai Hai Mera JAAM Aakhri,
Mere HONTON Pe Hai Tera NAAM Aakhri,

Meri PALKEN Khuli Hain Tumhare Leye,
Meri ANKHON Main Hai Ek SALAAM Aakhri,

Usay KEHNA " Khush Rahey Tu SADA,
Meri JANIB Se Hai Ye PEYAAM Aakhri,

JAAN Dedi Mager BE-WAFA Na Hua,
Mere SAR Hai Ye ELZAAM Aakhri,

Kal Na JAANE Kahan ZINDAGI Ho Basar,
Teri GALIYON Main Hai Ye QEYAM Aakhri,

ROTH Kr Is Tarha Tum Na JAO Abe,
Kia PATA Ho Yehi Meri SHAAM Aakhri..

Bari Tarap Hai


Bari tarap hai, meri iltaja k parday mein,
Main tum ko maang raha hoon dua k pardy mein.

Usy b dar hai k ye raaz khull na jaye kahin,
Likhta hai naam mera wo hina k parday mein.

Main us k koochy sy guzra to ye mehsoos hua,
Mujhy pukara hai us ny hawa k pardy mein.

Ajeeb tarz-e-masihayi us ne dikhlayi,
Hayyat meri badal di dua k pardy mein.

Is tarah chehry ko zulf mein chupaya us ny,
k jaise chand chupa ho ghata k pardy mein.

Shayad Usay Milay Gi


Shayad Usay Milay Gi Lab-e-Baam Chandni..
Utri Hai Shehr Mein Jo Sar-e-Sham Chandni..

Mujh Se Ulajh Pary Na Karri Dopahar Kaheen?
Mein Ne Rakha Ghazal Me Tera Naam Chandni..

Mein Misaal Naqsh-e-Paa, Mera Aaghaz Dhool Dhool..
Tu Chand Ki Tarha, Tera AnJam Chandni..

Jin Wadiyon K Log Lutay, Ghar Ujar Chukay..
Un Wadiyon Mein Kya Hai Tera Kaam Chandni..

Un K Liye Thi Soorat-e-Aizaz Hr Kiran..
Apnay Liye Hai Baais-e-Ilzam Chandni..

Phelen Hain Ashk MOHSIN Ruton Ki Bhikernen..
Un Ki Zulfen Luta Rahi Hain Sar-e-Aam Chandni....

Shehar Ke Dukandaro

Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein
Sood Kia Zian Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Dil Ke Daam Kitne Hein Khuwab Kitne Mehnge Hein
Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Koi Kaisay Milta Hai Phool Kaisay Khilta Hai
Aankh Kaisay Jhukti Hai Saans Kaisay Rukti Hai

Kaisay Reh Nikalti Hai Kaisay Baatein Chalti Hai
Shouq Ki Zabaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Wasl Ka Sukoon Kya Hai, Hijr Ka Junoon Kya Hai,
Husn Ka Fusoon Kya Hai, Ishq Ke Daroon Kya Hai

Tum Mareez-E-Danai Maslihat Ke Shaydai
Raah-E-Gumrahan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Zakhm Kaisay Phaltay Hein Daagh Kaisay Jaltay Hein
Dard Kaisay Hota Hai Koi Kaisay Rota Hai

Ashq Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia
Aah Kia Fughaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein
Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein

Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai
Zeest Be-Umaan Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai
Shaksiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai

Phir Bhi Harf Chuntay Ho Sirf Lafz Suntay Ho
In Ke Darmiyaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Mera Mazi Meri Yadain

Mera Mazi Meri Yadain Merey Adwaar Likhne Do
Is Zeest-E-Napaid K Kuch Auraaq Likhne Do

Mujhe Us Hijir K Mausum K Kuch Asbaaq Likhne Do
Guzre Hoe Kal K Kuch Lamhaat Likhne Do

Jis Waqt Wo Mila Mujh Se Jis Waqt Bichar Gaya
Wo Har Lamha Har Bosa Bebaak Likhne Do

Mujhe Wehshat Si Hay Jin K Ta'aqub Se Ab
Unhi Neeno K Anso'on Ka Ehwaal Likhne Do

Jis K Aghaz-O-Inteha Sab Likhe Ja Chuke
Ab Us Dastan-E-Ghum Ka Ikhtitam Likhne Do

Kaha Hum Ne Kisi Aur Ke Hone Lage Ho Tum.
Muskara Ke Bole Pehle Kab Tumhare The
Hawa Ke Rukh Pe Jalta Hai Charagh-e-Aarzoo Ab Tak
Dil-e-Barbad Me Ab Bhi Kisi Ki Yaad Baaqi Hai.
Apne Lehje Pe Ghor Kar Ke Bata
Lafz Kitne Hain Teer Kitne Hain.
Lab-e-Tishngi Ki Manid Shab-o-Roz Qatra Qatra
Mujhe Zehar Mil Raha Hai Teri Be Rukhi Se Janan.
Rootho Agar Mujh Se To Yeh Zehen Me Rakhna Tum.
Manana Adat Nahi Hamari Aur Juda Hum Reh Nahi Sakte
Us Key Piyar Main Intkaam Chupa hai Lugon ....
Tarpna Dil ko Pharta hi Muhabbat Zalim Hute hai

Wo Karha hi Wafa Bhi mohabbat Key Liyai

Wafa Kiya As Dur Main Nayaab hai lugon !!
Apne Hi Hote Hain Jo Dil Pe Waar Karte Hain
Ghairon Ko Kya Khabar Dil Kis Baat Pe Dukhta Hai
Wo Shakhs Nazar Aaye Kabhi To Use Itna Kehna
Jin Ko Aadi Kar Diya Hai Apna
Wo Log Buhat Yaad Karte Hain Tumein.

Bhar De Ek Ek Moti

Bhar De Ek Ek Moti Khushiyon Ka Us Ki Zindagi Ki Mala Me
YA RAB
K Kabhi Bikhar Bhi Jaye Toot Ke To Khushiyan Us Ke Qadmon Me Hon..
Nilaam Kuch Is Tarah Se Hue Bazar-e-Aitbaar Me
Boli Lagane Wale Bhi Wo The Jinon Ne Kabhi
Manga Tha Jholi Phaila Ke Mujhe.
Tujhe Chahte Hain Be Intaha Par Chahna Nahi Ata
Ye Kasi Muhabat Hai K Hamein Kehna Nahi Ata
Zindagi Me Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar
K Tere Bin Hamein Zinda Rehna Nahi Ata
Har Pal Tujhe Bas Tujhe Duaon Me Mangte Hian
Kya Karen K Tumhare Siwa Kuch Mangna Nahi Ata


Mujh Ko Mujh Me Jaga Nahi Milti
Tu Hai Majood Is Qadar Mujh Me

Saare Sapne Kahein Kho Gaye

Saare Sapne Kahein Kho Gaye
Haye Hum Kya Se Kya Ho Gaye
Dil Se Tanhai Ka Dard Jeeta
Kya Kahein Hum Pe Kya Kya Na Beeta

Tum Na Aye Magar Jo Gaye

Haye Hum Kya Se Kya Ho Gaye

Tum Ne Hum Se Kahein Thein Jo Batein

Un Ko Dohrati Hain Ghum Ki Ratein

Tum Se Milne Ke Din To Gaye

Haye Hum Kya Se Kya Ho Gaye

Koi Shilwa Na Koi Gila Hai

Tum Se Kab Hum Ko Ye Ghum Mila Hai

Haan Naseeb Apne Hi So Gaye

Haye Hum Kya Se Kya Ho Gaye..
Main Ne Roka Nahi Aur Wo Thehra Hi Nahi
Haadsa Kya Tha Jise Dil Ne Bhulaya Bhi Nahi
Jane Walon Ko Kahan Rok Saka Hai Koi
Tum Chale Ho To Koi Rokne Wala Bhi Nahi,
Aaj Kuch Kami c Ha Tm-Bin
Na Rang Na Roshni Ha Tm-Bin

Waqt Apni Raftar Se Chal Raha Hai

Bs Dharkn Thami c Ha Tm-Bin

Na Barish Ha Na Dhuwan Tm-Bin
Buhat Roka Hai Badal Ko Barsnay Se
-ALI-
Phir Bhi Aankhon Me Nami c Ha Tm-Bin!!
Tum Ne Kiya Na Yaad Kabhi Bhool Kar Hamein
Hum Ne Tumhari Yaad Me Sab Kuch Bhula Diya
Us Ne Samjha Hi Nahi Qabil Apne
Warna
Us Se Ishq nahi Us Ki Ibadat Karte
Hillal E Eid Ko Dekha Bhara Malal hua .......

Tumhain Galey Sey Lagye Pora Ak Saal Hua
Sub Ko Garz Chaand sey Mera Wasta Tujhe sey hai

Tu Muskorey Tu Ayon Lagey Apni Bhi EID Hugaye !!

Mohabt Na Krte To Aj Udas Na Hote
Ek ChOti C Khata Zindagi Barbad Kr Gai
Tera Wajood Mautbar Hai Zindagi Mein Meri,
Tere Siwaa Nahi Aata Kisi pe Payar Mujhey.!
EID Ka Din Bhi Mutbar Hujata

Aye Kash Key Tu Loot Ayta !!

Udase As Qadar key Roney Ko Dil Chaye

Hai Koi Jo Mera Chand Luta de Mujhy !!

Us ko Sajnay Sanwarnay Ki Zaroorat Hi Nahin ,

Uss Pay Jachti Hay Hayaa Bhi Kisi Zewar Ki Tarah

Kya Lutf-E-Eid Hai Tum Mujh Se Door Ho.
Guzrey Ga Roz-E-Eid Tasawwur Mein Tumhare...!!

Mary Molya ney Chatyon ki Sultanat dai de
Magar Pheli Muhabbat Ka Khasra sath Rheta hai
Safar Main Aain Mumkeen hai main kud ko choor don lekin
Duayin Karney waloon ka Sahra saath Rheta hi ....

Eid ka chaand

Kitni palkon se fizaaon mein sitarey tootey
Kitne afsanon ka unwaan bana eid ka chaand ...
Chalo Ayon Karin Kai Ab Hum Khain Duur Jakar Roolyin

Tera Shaiyar Bhi Tujh Sa Bewafa Hu Chalaaaaaaaa hai

Shayed mujhe sukoon tere pass he milay

Mujh ko galy laga le , bohat be-qarar hoon

Us Ki Masoomiyat Me Itna Asar Tha
Khareed Li Us Ne Ek Mulaqaat Me Zindagi Meri.
Us Ke Ik Ik Lamhe Ki Hifazat Karna
Ay Mere Khua
Masoom Sa Chehra Hai Udaas Ho To Acha Nahi Lagta
Hamein Na Roko K Ab So Jane Do Hamesha Ke Liye
Hum Thak Gaye Hain Be Wafa Logon Se Wafa Kar Te Kar Te

Us Ki Aankhon Me Aansoo The Meri Khatir
Wohi Ek Lamha Mujhe Zindagi Se Pyara Laga
Apni Tamna Se Kabhi Kuch Nahi Chaha Tha Hum Ne
Us Ki Khushi Dhoondte Rahe To Badnam Ho Gaye
Jo Ho Ijazat To Teri Yadon Ke Sang Lipat Kar So Jya Karun
Kat To Jati Hai Ye Raat Magar Tanha Neend Nahi Aati..
Udasiyon Se Wabasta Hai Ye Zindagi Meri
Khuda Gawa Hai
K Phir Bhi Tujhe Yaad Karte Hain
Tumhari Justajoo Tumhara Intazar Aur Akela Main
Thak Ke Muskara Deta Hun Jab Ro Nahi Pata

Tujh Ko Khabar Nahi Magar Ek Sada Sun Le
Babad Kar Diya Mujhe Tere Do Din Ke Pyar Ne
Saari Raat Sitaron Se Tera Zikar Ho Ta Hai
Aur Tum Ko Ye Gila K Hum Tujhe Yaad Nahi Karte

Wo Bhi Kya Din The



Wo Bhi Kya Din The Hamein Dil Me Bithaya Tha Kabhi
Aur Hans Hans Ke Gale Tum Ne Lagaya Tha Kabhi
Khail Hi Khail Me Kiyun Jaan Pe Ban Aai Hai
Phir Koi Chot Muhabat Ki Ubhar Aai Hai
Kya Batayen Tumein Hum Shama Ki Qismat Kya Hai
Ghum Me Jalne Ke Siwa Aur Muhabat Kya Hai
Ye Wo Gulshan K Jis Me Na Bahaar Aai Hai
Phir Koi Chot Muhabat Ki Ubhar Aai Hai..


Wo Mile Jo Raste Me To Bas Itna Kehna Un Se
Main Udaas Hun Akela Mere Paas Aake Roye
Tum Lot Aao To Shayad Koi Baat Bane
Warna Tabeebon Ne To Kar Na Inkaar Hi Hai