Tamam Umer Ki Tanhai Ki Saza De Ker


Tamam Umer Ki Tanhai Ki Saza De Ker
Tarap Utha Mera Munsif Bhi Faisla De Kar

Mere Khuda Ye Barhana Libaas Posh Hain Kon?
Azaab Kia Ye Dia Mujhko Chashm-e-Wa De Kar

Main Ab Merun Ke Jiyon Mujhko Ye Khushi Hai Bohat
Usey Sukoon To Mila Mujhko Bad.Dua De Ker

Kiya Phir Usne Wohi Jo Khud Usne Socha Tha
Bura To Main Bhi Bana Usko Mashwara De Ker

Mai Uske Waste Sooraj Talash Karta Hoon
Jo So Gaya Meri Ankhon Ko Ratjagha De Kar

Wo Raat Raat Ka Mehmaan To Umer Bhar K Liye
Chala Gaya Mujhe Yaadon Ka Silsila De Ker

Udaas Hoon Par Tujhse Naaraz Nahi


"...Udaas Hoon Par Tujhse Naaraz Nahi,
Tere Dil Mein Hoon Par Tere Pass Nahi,

Jhoot Kahun To Sab Kuch Hai Mere Pass,
.
.
.
.
Aur Sach Kahun To Ek Tere Siva Kuch Bhi Khaas Nahi..."

 

...Yeh Aarzu Thi Meri...

Wo Sagar Nahi Aansu The Mere,Jis Par Wo Kashti Chalate Rahe..,

Manzil Mile Unhe Yeh Aarzu Thi Meri
,Is Liye Hum Aansu Bahate Rahe.. </3


Zindagi itne dard deti hain

Zindagi itne dard deti hain,Dil mein fir bhi ummid rehti hain,

Dil kehta hain kuch nahin hoga,Par kuch to hoga ummid kehti hai… <3

Mohabbat Kuch Nahi Hoti



Hamesha Sath Rehne Ki Aadat Kuch Nahi Hoti
Jo Lamhe Mil Gaye Hain Jee Lo. Riyazat Kuch Nahi Hoti

Jisey Mehroomiyan Mili Hon Wohi Jaan Sakta Hai
Zubani Hosla, Jhooti Muravat Kuch Nahi Hoti

Kai Rishton Ko Jab Parkha, Nateeja Aik He Nikla
Zarorat He Sab Kuch Hai, Mohabbat Kuch Nahi Hoti

Kisi Ne Choor Kar Jana Ho To Phir Choor He Jata Hai
Bicherna Ho To Sadiyon Ki Rafaqat Kuch Nahi Hoti

Taaluq Toot Jaye To Safeene Doob Jaate Hain
Ye Sab Kehne Ki Baatein Hain, Haqeeqat Kuch Nahi Hoti

Baith Jata Hai Wo

Baith Jata Hai Wo Jab Mehfil Main Aa Ke Samne
Main Hi Bas Hota Houn Us Ki Is Adaa Ke Samne

Taizz Thi Itni Ke Sara Shehar Soona Kar Gayi
Dair Tak Baitha Raha Main Us Hawa Ke Samne

Raat Ik Ujhre Makaan Par Ja Ke Jab Awaz Di
Gounj Uthe Baam-o-Dar Meri Sada Ke Samne

Wo Rangela Haath Mere Dil Pe Aur Uss Ki Mehak
Shama-e-Dil Bujh Si Gayi Rang-e-Hina Ke Samne

Main Tou Uss Ko Dekhte Hi Jaise Pather Ho Gia
Baat Tak Mou Se Na Nikli Bewafa Ke Samne

Yaad Bhi Hein Aey Munir Uss Shaam Ki Tanhaiyaan
Aik Maidaan, Ik Darakht Aur Tu Khuda Ke Samne

Ae SAQI Suno Faryad Meri

Ae SAQI Suno Faryad Meri
Kabhi Dunya Thi Aabad Meri


Me Prem_Nagar ka Basi Tha
0r Pyar Ka Itna Aadi Tha


Sans B Pyar Se Chalti Thi


Dharkan B Geet Sunati Thi


Na Khana Peena Ishq Siva
Na Chalna Phirna Ishq Bina


Jivan Me Har Su Rang Hi Rang
Har Pal Me Jenay Ki Tarang


Phir Sapna Mera Toot Gaya


Wo Dais B MujhSe Chhoot Gaya


Ab Tanha Tanha Ghomta Hun
Jenay Ka Sahara Dhondta Hun


Ae SAQI Suno Faryad Meri
Kabhi Dunya Thi Abad Meri

Ajab sanjoog hai jaana

Ajab sanjoog hai jaana
Ye kaisa jog hai jaana


Baray borhay batatay thay
kaee qisaay sunatay thay
Magar hum mantay kab thay
Ye sab kuch jantay kab thay
Ye batain zikar k qabil
bhala gardantay kab thay


ana k takht pay bethay
Humain maloom hi kab tha
Anaa k takht say oper
Bohat saree bulandi par
Kahin pariyon k jhurmut mein
Teray pairoon ki payaal mein
Teray chotay say gaoon mein
taree zulfoon ki chaoon mein
sitary chand suraj
waalay hana raqs kartay hain


hamain maloom he kab tha
taray qadmon ke aahat per
gulabi muskarahat per
teray hontoon ke jumbish per
teray sir kay ishray per
sada-e-dolbarana per
negaha-e-qatilana per
jafa-e-mehrmana per
ada-e-qatalana per
chaaman kay phool saray
is tarhan say dhayan daytay hain
zara say wasl kay jhansay main
apni jaan daytay hain


hamian kab ilm tha jana
teray paykar say dhul kar
chaandani har so bikhrtee hai
shab-e-mehtab ke doshezgi
kaisay nikhrtee hai
tere awaz weranay main
kya jadu jagatee hai
taray nagmay fiza main
kis tarha jaltarang bajatay hain
bohat pukhta iraday
kis tarhaa say toot jatay hain


hamain idraak he kab tha
hamain kamil bharosa tha
hamaray sath kisi surat
bhee aisa nahi ho ga
dil-e-nadan kabhi
qaboo say bayqaboo nahi ho ga
yeh dunya-daar
dunya-daar say saadhuu nahi ho ga


Magar.............




Magar phir youn hoa jana
na janay kyun hoa jana
bara afsoon hoa jana
jigar ka khoon hoa jana


teray abroo ke ik jumbish
say ghayal ho ga'ay hum bhee
baray bay multafit phirtay thay
maayal ho ga'ay hum bhe
sakahwat karnay aay'ay thay
aur sayal ho ga'ay hum bhee
baray bhooron ke in baaton kay
qayal ho ga'ay hum bhee
K............
Mohabat Rog Hai Jana
Ajab Sanjog Hai Jana


Yeh Kaisa Jog Hai Jana..............!!!

Wo Mere Paas Hay Kya Pas Bulaun Us Ko

Wo Mere Paas Hay Kya Pas Bulaun Us Ko
Dil Mein Rehta Hay, Kahan Dhundne Jaun Us Ko

Aaj Phir Pehli Mulaqaat Se Aaghaaz Karun,
Aaj Phir Door Se Hi Dekh Ke Aaun Us Ko

Qaid Ker Loon Usy Aankhon K Nihan Khanon Mein,
Chahta Hun Ke Kisi Se Na Milaon Us Ko

Usy Duniya Ki Nigahon Se Krun Mai Mehfoz
Wo Wahan Ho, Ke Jahan Dekh Na Paon Us Ko

Chalna Chahe To Rakhe Paaon Mere Seene Per,
Baithna Chahy To Aankhon Pe Bithaun Us Ko

Wo Mujhy Itna Subuk, Itna Subuk Lagta Hy,
Kabhi Gir Ja'ay To Palkon Se Uthaun Us Ko

Yaad Se Us Ki Nahin Khali Koi Bhi Lamha
Phir Bhi Darta Hun Kahin Bhool Na Jaon Us Ko,

Aaj To Dhoop Mein Tezi Hi Bohat Hai Warna,
Apny Saye Se Bhi Shehzad Bachaon Us Ko