Yadon me dundhli parchai c lagti hai,
khamoshi me gunjti sehnai c lagti hai,
aap ho to apna pan hai...
warna sine me bhi saans parai c lagti hai..


Wo pal bhi kya pal raha hoga,
Jab khuda aap jaisa Dost bana raha hoga,
Pareshan hoga khuda bhi us waqt,
kyu ki har koi apko pane k liye Khuda ko mana raha hoga.


andhere ka ehsas sham se hota hai,
Nashe ka ehsas jaam se hota hai.
Yun to bahut Dost hai duniya me,
par Dosti ka ehsaas aapke naam se hota hai.


Jane kyu itna yaad ate ho aap,
Jane kyu itna Dil ko lubhate ho aap,
aap se pyara koi "DOST" na milega kahi,
Kya isi liye itna BHAV khate ho aap.


Khuda ki banai kudrat nahi dekhi.
Dilo me chupi dolat nahi dekhi.
Jo kahte hai duriyo se khatam hoti hai Dosti.
Shayad unhone hamari Dosti nahi dekhi..


jiske pass kuch nahi uspe duniya hasti hai,
jiske pass sab kuch hai us par duniya jalti hai,
hamare pass aap ki dosti hai jiske liye duniya tarasti hai.


Suraj Pass Ho Na Ho Roshni aas pass Rehti Hai,
Chand Pass Ho Na Ho Chandni aas pass Rehti Hai,
Aur Aap Pass Ho Na Ho Apki Yaad Hamesha Sath Rehti Hai..




Dosti Se Aaj Pyar Sharmaya Hai,
Teri Chahat Ne Kuch Aisa Gazab Dhaaga Hai,
Khuda Se Kya Tujhe Mange,
Wo To Aaj Khud Mujhse Aap Jaisa Dost Mangne Aaya Hai.


apka rista humere suro ka saaz hai,
aap jaise Dost par hume naaz hai,
chahe kuch bhi ho jaye jindgi me,
ye rista kal bhi vaisa rahega jaise aaj hai.