Mujhay wo lakh tar’pai


Mairay khawaboon k gulshan mai hawaien raqs karti hain
Mairay hontoon ki larzish mai wafaien raqs karti hain

Mujhay wo lakh tar’pai magr us shaksh ki khatir
Mairay dil kay andheron mai dua’ien raqs karti hain

Ussay kehna kay loat aaye sulgati shaam say pehlay
Kisi ki khushk ankhoon mai sad’ain raqs karti hain

Utar’ta hoon jab kabhi kitabo kay samundar mai
Khawabeeda chehray ki ada’ain raqs karti hain

Khuda janay kon si kashish hai tairi yadoon mai
Taira zikr chairoon to hawa’ain raqs karti hain

Jo bhi aataa hai

Raqs karne ka milaa hukm jo dariyaaon mein
Humne khush hoke bhanvar baandh liye paaon mein

Jo bhi aataa hai, bataata hai naya koi ilaaj
Bat na jaaye tera beemaar maseehaaon mein

Jis barahman ne kaha hai K ye saal achchha hai
Us ko dafnaao mere haath ki rekhaaon mein

Woh khuda hai kisi TooTe hue dil mein hoga
Masjidon mein use dhoondho na kaleesaaon mein

Humko aapas mein muhabbat nahi karne dete
Bas yehi aib hai is shahr ke daanaaoi mein

Jab bhi wo shakhs


Jab bhi wo shakhs  mujhse khafa ho jaye,
Aik sunami mery seeny mai bapa hojay,

Dil mai phir kuch nahi hoga khalaon k siwa,
To kisi roz ager mujhse juda hojaye.

Wo buht rakhta hai chahat ki tamazan ka hisab,
Wo to aik sajda na bakhshy jo qaza ho jaye,

Thapkian de ker sulati hain teri yaaden hamen,
Neend jis raat bhi hum se khafa ho jaye,

Ye taqaza hai muhabbat ki ibadat ka
Usko chuU leny se aik rukn adaa ho jaye.

Us ka chehra


Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,

Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,

Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,

..Bewafa..



Mera naam bhool baithe hai mujhe jaan kehne wale...
Aaj mangte hai meri mout ki duaye mere sath rooh ban kar rehne wale...


Aaj dhoop ki tarah chubhta hai mera saya bhi unhe...
Aaj bhagte hai mujhse door mujhe khushi ki sham kehne wale...

Zindagi gumnami me kati hai unke baad meri...
Aaj bhoole baithe hai mujhe apni pahchan kehne wale...!!