Chaha hai sache dil se maine

Maana hai lakh buraiyan mujhme, par ek toh achhai hai…
Baat jo thi ab tak dil mein, Aaj wahi juban pe aaye hai…
Chaha hai sache dil se maine toh tujhko…
Ek tu hi hai wo jisne ye shayari mujhe sikhkai hai….

kash je zindgi itni hasin hoti

kash je zindgi itni hasin hoti,
hum chahte or manzil karib hoti,
khne ko to sab apne hai,
kash koi aisa hota jise hamare dard se bhi takleef hoti

Jis qadar chaha tha dil

Dil ne tera pyar per majbur mujh ko kardiya
Is jaha ki har khushi se dur mujh ko kardiya
Jis qadar chaha tha dil ne pass tere aane ko
Is qadar dunya ne tujh ko mujh se dur kardiya..

Dekho awaz dekar

Dekho awaz dekar pass hume paogi..
Aaoge tanha par tanha na jaoge..
Dur rehkar bhi tumpe nazar hai meri,
Hantho se tham lenge jab bhi thokar khaogi…

Dhadkan

Dhadkan bina dil ka matlab hi kya
roshani bina diye ka matlab hi kya
kyu kehte hai log ki mohabbat na kar dard milta hai
wo kya jane ki dard bina mohabbat ka matlab hi kya…


Kismat se milte hain Dost aur Dosti koi Khoj nahi hoti,
Dosti Rishta hai Janmo ka aur har kisi se Roj nahi hoti,
Apni Zindgi me Humari Maujudagi ko Bewajah mat samajhna,
Kiyo ki Palke kabhi bhi Ankhon pe Bojh nahi hoti.

Ummeed ki kashti ko koi duba nahi sakta…
Roshni k diye ko koi buja nahi sakta…
HUMARI DOSTI to TAJMAHAL ki tarah hai Jise koi dusra bana nahi sakta.

Khushbu Ki Tarah Fiza Me Rahna,
Khusiya Bankr Hawa Me Rahna,
Dosti Hoti H Risto Ka Anmol Gehna,
Is Dost Ko Kabi Alvida Na Kehna.

Taqdir se tab hUme hissa milta hai,
Pyar bhara koi jab Rishta milta hai.
Roshan ho jati hai Sari zindgi dost,
Jab Rishto me aap jaisa Farishta milta Hai.

Lage na nazar is riste ko zamane ki,
pade na kabhi jarurat ek duje ko manane ki,
aap na chhodna dosti ka sath,
warna tamanna na rahegi PHir dost banane ki.

Koi WADA nahi phir bhi intezar tha,
door hone par bhi apni dosti pe aitbar tha,
apke chehre ki muskurahat bata rahi hai,
apko mere hi msg ka intzar tha.

najar mila ke, humse najar chura mat lena,
dosti kar ke humse, humko ajnabi bana mat dena,
mana ki hum dur hai aapse,isi ka bahana banakar humko bhula mat dena

Khush Hu,aur Sabko Khush Rakhta Hu,
Laparwah Hu,Phir Bhi Sabka Parwah Karta Hu,
Maloom Hai Koi MOL Nahi Mera,
Phir Bhi Kuch ANMOL Logo Se dosti Rakhta Hu..

Maut ki jholi me jis din sona hoga.
Na koi takiya n bichhona hoga.
Sath hogi aap jaise dosto ki mithi yade.
Aur kabristan ka ek chhota sa kona hoga.

Kuch andhera b zaruri hai

Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath,,,
Ab diya koi na rakhe meri dewaar k sath,,,

Mein jo ik umer masafat mein raha, tab jana,,,
Rah b chalti rahi hai, meri raftaar k sath,,,

Ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein “FARAZ”
Yun hi chal parte hein,har ik kharidaar k sath

main toot b jao

Rakhta hai mujay thaam kar, girney nahi deta?
Main toot bhi jaon tou bikharney nahi deta.
Is darr se kahin kaanta na chub jaye haath mein,
Wo phool bhi mujh ko pakarne nahi deta.
Wo is qadar hassaas hai mohabbat mein meri?.
K koi bhi ghum meray seenay mein wo palney nahi deta.
Jis raat ki tareeki se aata hai mujay khouf?
Us din ko phir raat mein wo dhalney nahi deta…

Sari dunya ke riwajon se adawat ki thi

Sari dunya ke riwajon se adawat ki thi.
Tumko yad hai jab maine ye himaqat ki thi.
Use raazdan smajh kar bataya tha haal-e-dil apna.
Par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi.
Jab kisi ki yadon ne ankhon ko bhigoya tha meri.
Maine ek naam ki tasbeeh pe tilawat ki thi.
Us ko chor ke hanste hoye ghar aa ke.
Itna roye the ke ankhon ne qayamt ki thi.
Mere ujarne ka sabab jab bhi kisi ne pucha to.
Mane bas itna hi bataya ke muhabbat ki thi.

Bhool jata hoon milney walon ko


Bhool jata hoon milney walon ko
Khud se phirta hoon bekhabar kitna

Usne aabaad ki hai tanhai
Warna sunsaan tha ye ghar kitna

Kaun ab arzoo kare uski
Ab dua main bhi hai asar kitna

Wo mujhay yaad kar ke sota hai
Us ko lagta hai khud se dar kitna

Aadatain sub buri hain Mohsin ki
Acha lagta hai wo magar kitna...

Yeh Safar Nahi Azaab Hai

Yeh Safar Nahi Azaab Hai,

Yahan Hr Kisi Pe Naqaab Hai,

Yahan Bad-Gumaani Ka Raaj Hai,

Yahan Be-Wafaai Rivaaj Hai,

Abhi Hosh Khoney K Din Nahi,

Abhi Tere Roney K Din Nahi,

ABHI WAQT HAI MUJHE CHORR JAA

Abhi Saari Nagri Andhair Hai,

Abhi Din Nikalne Mai Dair Hai,

Abhi Behr-e-Ishq Main Na Utar,

Abhi Shehr Saara Hai Be-Khabar,

ABHI WAQT HAI MUJHE CHHOR JA!

ABHI WAQT HAI MUJHE CHHOR JA

Ek pal sau baras

Khof sa Zindagi Pe taari hai
Ek pal sau baras pe bhari hai..!

Yeh Azal se Abad tak ka safr
Kis Qadar bedili se jari hai..!

Dekh humdam yeh pyaar ki bazi
Kitni mehnat se maine hari hai...!

Meri Ankhon ka kuch qasoor nahi
Teri soorat hi aisee pyari hai

AA shab-e-gham main tera gham bantoon
Tu bhi Tanhaiyon ki maari hai

Dil ke darya’on mein ab rait hai


Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha us waqt ?
Jab mujhe teri zaroorat thi, Kahan tha us waqt ?

Maut ke sukh mein chala aya mujhe dekhne ko,
Zinda rehne ki museebat thi, Kahan tha us waqt ?

Dil ke darya’on mein ab rait hai sehraon ki,
Jab mujhe tujhse mohabat thi, Kahan tha us wakt ?

Rishto Ka Vishwas Tut Na Jaye,
Dosti Ka Sath Kbhi Chhut Na Jaye,
Ae Khuda Galti Karne Se Pehle Mujhe Rok Lena,
Kahi Meri Galti Se Mera Dost Ruth Na Jaye..

Risto ki raho me koi gam naho,
Aapki ye khusiya kabhi kam naho,
Bas yahi dua h khuda se…
Ye msg padne wala barso jiye,
Kya pata likhne wale KAL HO NAHO.


Is YAAR ki Har Khata Ko Maaf Kr Dena,
Har Gile Hr Shikve Ko Dil Se Saaf Kr Dena.
Akele Na Sehna Koi B Takleef,
khushiyan na sahi pr gam to Haaf-Haaf Kr Lena…

Mehfil Me Kuch To Sunana Padta Hai,
Gam Chupa kar Muskurana Padta Hai,
Hum Bhi Apke DOST Hai,
Lekin Wo Bhi Aaj-Kal Apko
Yaad Dilana Padta Hai…

Thodi si shararat,
thodi si ruswai,
bahut sara apnapan,
thodi ladai…
na ho fasle kabi na kabi duri
bas isi tarah
Pyar se beet jaye zindgi puri…

Sapne hamare kuch aise ho….,
Khwab hamare kuch aise ho……
Zindagi me pyar mile na mile…..,
Dost mile to sirf apke jaise ho…

Maano to ek ittefaq hai Dosti,
Armano me sulagati ek aas hai Dosti,
Mohabbat ne to marna sikhaya sabhi ko…
Marke jo jeena sikhaye wo alfaaz hai DOSTI.
Khush Hu aur Sabko Khush Rakhta Hu,
Laparwah Hu Phir Bhi Sabka Parwaah Karta Hu,
Maloom Hai Koi MOL Nahi Mera,
Phir Bhi Kuch ANMOL Logo Se Dosti Rakhta hu....