Khwaabon Mein Bhi

Khwaabon Mein Bhi Tere Siwa Koi Dikhai Na De..!!
Umr Bhar In Aankhon Ko Tera Gulaam Kar Doon..!

Mohabbat Door Ki Rakhna.


Jab Milo Kisi Se To Zara Door Ki Mohabbat Rakhna.
Jaan Leva Hote Hai Aksar Seene Se Lagane Wale...

Meraa dil bhii shauq se toddo

meraa dil bhii shauq se toddo ek tajurbaa aur sahii
laakh khilone tood chuke ho ek khilonaa aur sahii

raat hai Gam kii aaj bujhaa do jalltaa huaa har ek chiraaG
dil mai Andheraa ho hii chukaa hai ghar mai andheraa aur sahii

dam hai nikalataa hai ik aashiq kaa bhiid hai aa kar dekh to lo
laakh tamaashe dekhey hongey ek nazaaraa aur sahii .......

khanjar le kar sochate kyaa ho qatl "Murad" bhii kar Daalo
daagh hain sau daaman pe tumhaare ek izaafaa aur sahii

Wo muhabbaton ki adhuri "kitab" lagta hai

Wo muhabbaton ki adhuri "kitab" lagta hai
Utre na jiska khumar wo "sharab" lagta hai

Wo mujhse mujh ko hi cheen leta hai
Mere khayalo ki sultanat ka wo "nawab" lagta hai
...
Wo sang chale to faasle bhi simat jate hain
Uske bagair sahal safar bhi "azab" lagta hai

Jo poch beitho usse k chor to na jaonge
Hans k kehta hai aap ko aisa kyo "janab" lagta hai

Mere shab-o-roz to ussi se mansoob hain "AmIn"
Zamane ko chahe wo "kharab" lagta hai..

Azaab Barha Loon Agar Ijazat Ho


Azaab barha loon agar ijazat ho
Ek aur zakham mein kha loon agar ijazat ho

Tumhare ariz-o-lub ke judai ke din hein
 Main jaam moun se laga loon agar ijazat ho

Tumhara hussn tumhare khyial ka chehra
Shabahaton mein chuopa loon agar ijazat ho

Tumhein se hai mere har khawab-e-shoq ka rishta
Ek aur khawab kama loon agar ijazat ho

Thaka deya hai tumhare firaq ne mujh ko
Kahen main khud ko gira loon agar ijazat ho

Baraye nam banam-e-shab-e-wisal yahan
Shab-e-firaq mana loon agar ijazat ho

Kathin safar hai muhabbaton ka....


Kathin safar hai muhabbaton ka sarab raste hain soch lena
Woh chor jate hain ik qadam per jo sath chalte hain soch lena..

Ye reet tum na nibha sako gae na sath chalne ki baat karna
K ishq walon ki rehguzar mein chanab ate hain soch lena..

Tumhain kaha tha k ban k apna fareb deta hai ye zamana
Tumhain kaha tha k aasteeno mein saanp palte hain soch lena..

Wo basti jahan pe hum tum mile the mil k bichar gae the
Wahan pe ab bhi meri wafa k chiragh jalte hain soch lena..

Khud Na Aaye Hame Bula Ke Wo..

Khud na aaye hame bula ke wo !!
uss pe haste hain dil jala ke wo!!

unnki aankhein yahi to kehti hain!!
raat poori jagge, jaga ke wo !!

chedd ke daastan mohabbt ki !!
khud bhi roye bhut rula ke wo!!

yaad ata hai unka sharmana !!
hont katre the khuch bata ke wo !!

chand kya hoga ab ayan dekho !!
chath pe aye hain saj saja ke wo..!!

kya mahubbath hai unki aye qadeer !!
mujhse ruthe, mujhe mana ke wo !!