Wo muhabbaton ki adhuri "kitab" lagta hai

Wo muhabbaton ki adhuri "kitab" lagta hai
Utre na jiska khumar wo "sharab" lagta hai

Wo mujhse mujh ko hi cheen leta hai
Mere khayalo ki sultanat ka wo "nawab" lagta hai
...
Wo sang chale to faasle bhi simat jate hain
Uske bagair sahal safar bhi "azab" lagta hai

Jo poch beitho usse k chor to na jaonge
Hans k kehta hai aap ko aisa kyo "janab" lagta hai

Mere shab-o-roz to ussi se mansoob hain "AmIn"
Zamane ko chahe wo "kharab" lagta hai..