Tuufan me kashti ko kinare bhi mill jate hain,
Jahan me logo ko sahare bhi mill jate hain,
Dunia me sab se Pyari hai zindgi...
lekin khuch log zindagi se bhi Pyare mill jate hain.

Chhote se Dil k afsane bahut hai,
Zindagi se zyada zakhm bahut hai,
Maar dalti kab ki ye duniya.
Par Dosto ki duao me Asar Bahut hai.

Pyar Karne walo ki kismat kharab hoti hai,
Har waqt intezar ki ghadi sath hoti hai,
Waqt mile to rishto ki kitab khol k dekh lena,
Dosti har rishtey se LAJAWAB hoti hai..

Kaun kehta hai judai hogi.....
Ye afwah kisi dushman ne uraai hogi.....
Shan se rahenge Dil me tere.....
Itni to jagah hum ne banaai hogi..


Dhalti shaam ka khula ehsaas hai,
Mere Dil me teri jagah kuch khaas hai...
Tu nahi hai maloom hai mujhe,
Par Dil kehta hai e Dost tu yahi mere ass paas hai...!
Phool aisa ho jo baag ko khushbu se bhar de,
Hamsafar aisa ho jo andheron ko roshan kar de,
Dost aisa ho zindagi ko khushi aur mobile ko SMS se bhar de...

Akash k taron me khoya hai jahan sara,
lagta hai pyara ik ik tara,
in taaron me sab se pyara hai ik sitara...
jo is waqt par raha hai SMS hamara.

har dua kubul nahi hoti, har aarzu puri nahi hoti,
jinke Dil mein *"aap"* jaise Dost rahte ho,
unke liye Dhadakne bhi zaruri nahi hoti...!

Dosti gunah hai to hone na dena,
Dosti Khuda hai to khone na dena,
karte ho Dosti jab kisi se....
to us Dost ko kabhi rone na dena.

Koi hath hai

Mera Din Chupa kisi raat main,
Mere raat chupi kisi raaz main,
Koi raaz hai meri zaat main,
Main jab kabhi bhi bhatak gya,
Main girte girte sambhal gya,
Muje thokaron se pata chala,
Koi hath hai mere hath main!

Lakh roshan hon

Lakh roshan ho’n, andhero’n se guzarna bhi to hai
Charhte suraj ko samandar mai utarna bhi to hai
Tum jo khush ho meri raho’n mai bicha kar kantey
Inhi raho’n se kabhi tum ko guzarna bhi to hai
Ham kisi aur k ho’n jayain to heirat kaisi
Tum ne jo zakhm diye hain unhe bharna bhi to hai

Kaaghaz Apni Chahat ka

Abhi Tak Saada Rakha Hai Yeh Kaaghaz Apni Chaahat ka
Munaasib Jab bhi Samjhein Gey koi Paighaam likh dein gey
Koi Paighaam kya Likhna hai Ik chotey se Kaaghaz par
Jisey Ham Chahtey hain Bus Ussi ka Naam Likh dein gey

Ushe bhi hamari YAAD aaygiii...


Mujhe chhod kar jaa rahi hai wo...
Dekhna bahut pachhtayegi...
 
Mai chain se kabar me sounga...
Aur use meri yaad sari raat jagayegi...

Mere wajood se pichha chhudana itna asan nhi...

Wo har ek me mere aks ko payegi...

Jab uski berukhi pe koi berukhi dikhayega...

Tab use mere masoom lahze ki yaad aayegi...

Har baat ko sar-ankho pe rakhta tha mai uski...

Yahi wo baat hai jo wo apne naye hamdam me talashti reh jayegi...

Rab kare use khushiya naseeb ho jahan ki...

Magar afsos mere bina wo pagli kabhi khush na reh payegi...

Haste huye chehre pe aansu aayenge...

Bhari mahfil me jab is 'AmY' ki yaad use tadpayegi...!! :(

Tumhen farak nahi parhta



 




 





     Tumhen farak nahi parhta.....!
 Main tum se roth jaon tou,
Tumhare pas na aaon tou,


Phir tum se door jaa kar main,
Kabhi wapis na aaon tou,

Tumhari yaad mein gum sum,
Kabhi aansu bahaon tou,

Tumhen fark nahi parhta....!
Tumhare piyar mein aksar,
Khud ko bhool jaaon tou,

Main teri deed mein tanha,
Kabhi khud ko mitaon tou,

Main tumse door reh kar phir,
Akele marr bhi jaaon tou,


Tumhen fark nahi parhta...!!!!

laut jati hai jindagi gum hamara dekh kar,
jaise laut jati hai lahere kinara dekh kar ,
mere janaje ko kandha na dena tum ,
kahi phir jinda na ho jau tera sahara dekh kar.

Qayamat tak tujhe yaad karenge,
Teri har baat par aitbaar karenge,
Tujhe SMS karne ko to nahi kahenge...
Par tere SMS ka intezar karenge...!

Badi Muddat se chaha hai tujhe,
badi Duaon se paya hai tujhe,
tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise,
Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe!

Seene ki tadap ko dikhaya nahi jata,
nadan Dil ko samjhaya nahi jata,
lakh phasle ho Doston se..
par saanso mein basane wale ko ek pal bhi bhulaya nahi jata

Dil me kuch bacha nahi dard k siwa,
aankho me aata nahi koi aansu k siva,
Dost tu mat saath chhodna mera,
zindagi me kuch bacha nahi teri Dosti k siwa.

Har kadam pe imtihan leti hai zindagi,
har waqt naye sadme deti hai zindagi,
hum zindgi se shikwa kaise kare,
aap sa Dost bhi to deti hai zindagi!


Ye mat sochna ki bhul jayenge tumhey,
dur rehkar bhi chahenge tumhey.Agar Dost
banker raas na aye to ajnabi bankar bhi
yaad ayenge tumhe...