kahin shikwy mily kahin thokren milin

waqt aisi rawani main dhalta raha
main be khabar aisy hi chalta raha
kabhi hansta tha apny naseebon pe main
kabhi ander hi ander main jalta raha
kahin shikwy mily kahin thokren milin
choot aisi lagi k sanbhalta raha
usko pany ki khatie to sab kuch kia
wohi sang dil tha rasta badalta raha

Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai..

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,
Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,
Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai……!!!!

Aadat ho gayee

Vaada to kar lete hai Nibhana Bhul Jate Hain
Laga k Aag Seene Me Bujhana Bhul Jate hain.
Bhulana To Aadat ho gayee hai logo ki.
Rulate hai phir manana bhul jate hain.

Bohat farsooda lagte hain

Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey..
Gulo gulzar ki batain, lab o rukhsaar ke kissey..
Yahan sab ke mukadar mein fakat zakhm e judai hai..
Sabhi jhotey fasaney hain wasal e yaar ke kissey.

Mohabbat ka bharam hota

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty,
Wagarna Zindagi Ban k Meri Hamdam Guzar Jaty,
Thaky Hary Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,
Koi Jo muntazir hota tu hum bhi apne ghar jaty,
Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hun,
ye thokar jo tumhain lagti,tu tum khud bhi bikhar jaty,
Is TANHAi ka hum pe bara Ahsan hai
Na deti sath ye apna to jany hum kidhar jaty.

Sazaaon ko kon dekhe ga

Rah_E_Wafa Me Sazaon Ko Kon Dekhy Ga,
Safar He Dhoop Ka Chaon Ko Kon Dekhy Ga,
Hum Apni Zid Pe Aye To Cheen LenGe Tuje,
Tere Shehar Ki Ghataon Ko Kon Dekhy Ga,
Bichad To Jayen Magar Phir Khayal Aata Hai,
Teri In Dilkash Aadaon Ko Koun Dekhy ga.

Taqdeer

Taqdeer ne,Falak ne,Muhabat ne,Ishq ne

Jis ne b chaha Mera Tamasha Bana Diya

Chotai’n

Dil K Rishto’n Ki Nazakat wo Kia Janey

Naram Lafzo’n Se Bhi Lag Jati Hyn Chotai’n Aksar

na zameen hai meri qarar-gah

na zameen hai meri qarar-gah, na falak hai manzil-e-justuju;
bari dair se hai safar mera, teri yaad se teri yaad

Na Jane Kyu

Na Jane Kyu Gale Se Lipat Kar Rone Laga Jab Hum Barso Baad Mile
Jate Huye Jisne Kaha Tha ” K Tum Jaisy Lakhon Milengy”…!

Sach Pochieye

Sach PochieyeTo Apne Bhi Qaabil Nahi Thi Mein…
Acha Howa Jo Aap Ne Thukra Diya Mujhe….!!!

Loog Aurat Ko

Loog Aurat Ko Faqt Jism Samajh Laite Hain

Rooh Bhi Hoti Hai Is Main Ye Kahan Sochte Hain

Andaz-e-Shouq

Kaisey Andaz-e-Shouq Mein Keh DiYa Tum Ne Alvida,
Jaisey Sadiyon Se Tere Dil Pe Koi Bojh Thy Hum…

Zindagi

Zindagi Bohat Ghour Kya Hai Main Ne Tujh Py
Tou Faqat Rangon K Siwa Kuch Bhi Nahi…….!

Tera Deedaar

Tera Deedaar,Teri Fikar,Tujh Se Piyaar Ki Batein…

Taqaza Yehi Dil-e-Nadaan Ka Subho Shaam Hota Hai..!!

Ghame_e_jana

Ghame_e_jana hai Na gham_e_dunya GHALIB…,
Aik bay naam c udaaSi hai or kuch b nhi…!!!

Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh dekha tu ne,
Kiss qadar hauslaa haarey huye insaan mein hai..
Uss ne yee meri mohabbat ko nea moor diya
Ajj mere lie balon ko khola choor dia
Dhoaen ki lehar pe tasveer raqas karti rahi
Wo cigaraton k tasalsal me yaad ata raha

Ghalib Shayari Collection

Ghalib Shayari Collection

Koi din gar zindagani aur hai,
Apne jee mein humne thaani aur hai
————————————————————————————————————
Na tha kuchch to Khuda tha, kuchch na hota to Khuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota ?
————————————————————————————————————
ragon mein daudte firne ke hum nahi kaayal,
jab aankh hi se na tapka to fir lahoo kya hai?

————————————————————————————————————
  Khuda ke vaaste pardaa na Kaabe se utha zaalim
Kahin aisa na ho yaa bhi vahi kafir sanam nikale….
————————————————————————————————————
Hum ko maloom hai jannat ki haqeeqat, lekin
Dil ke khush rakhne ko, Ghalib yeh khayal achha hai.
————————————————————————————————————
Un ke dekhe se jo aa jaati hai chehre pe raunak
Wo samajhte hain ke beemar ka haal achha hai.
————————————————————————————————————
Jala hai jism jahan, dil bhi jal gaya hoga
Kuredte ho jo ab rakh, justuju kya hai?
————————————————————————————————————
Ye na thi hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte, yahii intezaar hota
————————————————————————————————————
Ishq par zor nahi, hai ye woh aatish, Ghalib,
Jo lagae na lage or bujhae na bujhe
————————————————————————————————————
Mat pooch ke kya haal hai mera tere peechhe
Tu dekh ke kya rang hai tera mere aage.
————————————————————————————————————
kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
————————————————————————————————————
Ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan ‘GHalib’ !
Tujhe ham walee samajhate, jo na baada-Khwaar hota…
————————————————————————————————————
Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle
————————————————————————————————————
Hui muddat ke Ghalib mar gaya, par yaad aata hai
Woh har baat par kehna, ke yun hota to kya hota…
————————————————————————————————————
Mohabbat mein nahi hai farq jeene aur marne ka,
ussi ko dekh kar jeete hain , jis kaafir pe dum nikle,
bahut nikle mere armaan , lekin phir bhi kam nikle
————————————————————————————————————
Nukta chii hai gam e dil,ke sunaya na bane
kya baat bane wahan,jahan baat banye na bane.
ishq par zor nahi hai yeh woh attish galib
jo lagaye na lage bhujhaye na bane

 ————————————————————————————————————

Faraz Shayari Collection

Faraz  Shayari Collection

Main Ne Yeh Soch Ker Tasbhi He Tor Di Faraz…..!
Kia Gin Gin Ker Mango Us Se Jo Behisab Deta Hai…..
========================================================
Haseen Yadoon K Kuch MauSaM Ussey Arsaal Krney Hein FARAZ!
SuNa Hai Shub Ko Tanhai Ussey Soney Nahi Deti.~!

========================================================
Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur Bikhar Gaya Faraz
Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath …

========================================================
Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe Faraz
Chal Diye Usi Mitti Main Jis Ki Hum Amanat Thay …

========================================================
Bin Maange Hi Mil Jati Hyn Taabeerai’n Kisi Ko Faraz
Koi Khaali Haath Reh Jata Hy Hazaro’n Duao’n K Baad

========================================================
Dil K Rishto’n Ki Nazaka wo Kia Janey ‘Faraz’
Naram Lafzo’n Se Bhi Lag Jati Hyn Chotai’n Aksar

========================================================
Us Ne Mujhe Chhor Dia To Kia Hua Faraz…
Meine B To Chora Tha Sara Zamana Us K Liye…

========================================================
Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,
Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aagaye,
Chor k dunya ko madhosh huye thy hum,

Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,
Na janay kis se pucha hai wafa na pata mera,

Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye,
Hum to andhere main sonay k aadi they,

Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye.
Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz!

Mar gaye hain to ab qabar pe aansu

Very Last Ghazal Of Ahmed Faraz

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi
Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari
Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi
Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass
Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi
Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans
Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi
========================================================
Wo Dhoondte Rahay Hame Idhar Udhar Shayad Unhe Hamari Taalash thi,
FARAZ
Par Afsoos Jis Qabar ParThay Qadam Unk Usi Mein Humari Laash Thi

========================================================
main simtnay k liye hr bar tum se milta hon fraz ….
tum se milta hon to kuch or bikhar jata hon


========================================================
  ‘Taash Ke Paton ki Manind hai Zindage Meri..
~.FARAZ .~

‘Jis Kisi ne bhi Khela Taqseem Kar Diya Mujhey..!
========================================================
Uss Se Milte Hee Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
FARAZ
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga

 ========================================================
Haath Rakh Kar Mere Dil Par Woh Farmanay Laga
Dard Kahan Hota ? Kab Hota Hai? Ab Hota Hai?
Mumkin Nahe Hy Mujh Se Yeh Tarz e Munafiqat
Dunya Terey Mizaaj Ka Banda Nahe Hon Mein…

Menhdi Design

For All  Menhdi Design
Dil se roye magar honto se muskura beithe,
yunhi hum kisi se wafa nibha beithe,
wo hame ek lamha na de paye apne pyar ka,
aur hum unke liye apni zindgi gawa baithe.
One night a guy and a girl were driving home from the movies. The boy sensed there was something wrong because of the painful silence they shared between them that night. The girl then asked the boy to pull over because she wanted to talk. She told him that her feelings had changed & that it was time to move on. A silent tear slid down his cheek as he slowly reached into his pocket & passed her a folded note.
At that moment, a drunk driver was speeding down that very same street. He swerved right into the drivers seat, killing the boy. Miraculously, the girl survived. Remembering the note, she pulled it out & read it. "Without your love, I would die."