Yadon me dundhli parchai c lagti hai,
khamoshi me gunjti sehnai c lagti hai,
aap ho to apna pan hai...
warna sine me bhi saans parai c lagti hai..


Wo pal bhi kya pal raha hoga,
Jab khuda aap jaisa Dost bana raha hoga,
Pareshan hoga khuda bhi us waqt,
kyu ki har koi apko pane k liye Khuda ko mana raha hoga.


andhere ka ehsas sham se hota hai,
Nashe ka ehsas jaam se hota hai.
Yun to bahut Dost hai duniya me,
par Dosti ka ehsaas aapke naam se hota hai.


Jane kyu itna yaad ate ho aap,
Jane kyu itna Dil ko lubhate ho aap,
aap se pyara koi "DOST" na milega kahi,
Kya isi liye itna BHAV khate ho aap.


Khuda ki banai kudrat nahi dekhi.
Dilo me chupi dolat nahi dekhi.
Jo kahte hai duriyo se khatam hoti hai Dosti.
Shayad unhone hamari Dosti nahi dekhi..


jiske pass kuch nahi uspe duniya hasti hai,
jiske pass sab kuch hai us par duniya jalti hai,
hamare pass aap ki dosti hai jiske liye duniya tarasti hai.


Suraj Pass Ho Na Ho Roshni aas pass Rehti Hai,
Chand Pass Ho Na Ho Chandni aas pass Rehti Hai,
Aur Aap Pass Ho Na Ho Apki Yaad Hamesha Sath Rehti Hai..




Dosti Se Aaj Pyar Sharmaya Hai,
Teri Chahat Ne Kuch Aisa Gazab Dhaaga Hai,
Khuda Se Kya Tujhe Mange,
Wo To Aaj Khud Mujhse Aap Jaisa Dost Mangne Aaya Hai.


apka rista humere suro ka saaz hai,
aap jaise Dost par hume naaz hai,
chahe kuch bhi ho jaye jindgi me,
ye rista kal bhi vaisa rahega jaise aaj hai.

Ek Bas ' SANS ' Ka Tutna Baki Hain

Ek Tere Didaar Ki Tamanna Baki Hain.,.,,,,,,,

Ek Tera Haath Thamne Ki Hakikat Baki Hain.,.,,,,,,
Mar To Roz Rahe Hain Teri " YAAD " Mein.,.,,,,,,,

Ek Bas ' SANS ' Ka Tutna Baki Hain.,.,.,.

Kisi Ka Ishq, Kisi Ka Khayaal The Hum Bhi

Waada Karo…

Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein
Pyar Apna Basane Ka Waada Karo
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo

Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen
Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen
Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo

Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum

Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum
Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo

Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin

Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai
Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam
Tum Mujhko Na Bhulne Ka

Mera Dil Hai

Mera Dil Hai Jab Tak, Teri Justaju Hai
Meri Zubaan Jab Tak, Teri Guftagu Hai
Khuda Jaane Kya Hoga Anjaam Mera
Jahan Dekhti Hoon Tu Hi Tu Rubaru Hai…

Bahut Dino Baad

Bahut Dino Baad Ek Shyam Aayi
Sooraj Duba Aur Na Thi Koi Ruswai
Bas Dil Ki Hai Aaj Baat Suni
Palke Unka Intezar Karti Hui
Dhadkano Ki Bekarari Badhti Gayi
Aaj Milenge Unse Jaise Kiran Nayi
Bhulke Pichele Batein Kahi
Nayi Ummed Hai Aise Jagi
Chand Taaron Se Hai Raat Saji
Jo Baate Hai Humne Hai Samjhi
Kehenge Unse Aj Wahi
Unke Bina Ab Kya Hai Zindagi
Bas Baahon Mein Teri Khushi Hai Meri
Karli Ji Bas Tumse Yeh Dillagi…

armano ki ginti

ärmäänö kï ġïntï tö müjhë nähï äätï,
pär dïl kä ëk khäÿäl äpsë käh dü,
äġär pänï kï här 1 böönd pÿär bän jäÿë,
tö töhfë më äpkö säärä sämändër dë dü…

Saanso Ki Mehak

ehroom-E-Haqeeqat

YAAD

Raat Badalte Rahete Hain Sote Nahi.,.,,,
Koie Aansu Dekh Na Le Is liye Rote Nahi.,.,,,,
Pyaar Ki Majbooriya , Kya Faasle , Kya Dooriya.,.,,,
Hum Tumhari " YAAD " Se Ek Pal Juda Hote Nahi.,.,

Is Duniya Me Bahut Khas Ho Tum


Is Duniya Me Bahut Khas Ho Tum,
Wo Khush Kismat Hai Jinke Paass Ho Tum...
Hmara Bas Chale to Wo Pal Hi Na Aane De,
Jis Pal Hume Lage Ki Kuch Udas Ho Tum.

pyar me thoda shaq jaruri hai


Sanso me uski mehak Jaruri hai,
Mohabbat me thodi kasak jaruri hai..
Koi sawal karu to naraj na hona Jaan,
Sacche pyar me thoda shaq jaruri hai..

thodI si ziddi hy magar bewafa nahi

Sab kuch hai mere paas par dil ki dawa nahi

Door wo mujhse hai par main khafa nahi...!!

Malum hai ab b pyar karti hai mujhse,
Wo thodI si ziddi hy magar bewafa nahi....!!

MerSawana Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo..

MerSawana  Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo..!
Sehra Ki Bahon Main Chupi Aas Bhi Tum Hoo..!

Tum Yun To Bohat Door Bohat Door Ho Mujh Se..!
Ehsas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Hoo..!
Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara ..!
Har Dard Main RAHAT Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Kho Jao To Veeran Si Ho Jati Hain Rahein ..!

Mil Jao To Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Likhta Hun To Tum Hi Utarty Ho Qalam Se..!

Parhta Hon To Lehja Bhi Tum, Awaz Bhi Tum Hoo..!


tu nay socha

Apni pyar Ki Ek Hansi

Apni pyar Ki Ek Hansi Aur Deedar Ko Tarsa Karte Hai ,
Suraj Ki Dhoop Me Chandni Raat Ka Intejaar Karte Hain ,
Ishq Ka Andaj Hume Lafajo Me Bayan Karna Nahi Aata,
Warna Hum Bhi Batate Ki Apni pyar Ko Kitna Pyar Karte Hai

Bichadte hue

Bichadte hue Yaad aa jaynge
Khud sone se phele Ek Khawab de jaynge
aapko Gila he Hum baat nahi karte
Sanso k Rukne se phale jawab de jaynge

Yaadein

Saari Baate

Saari Baate reh jati hai Kahani bankr,
Sare Jakhm reh jate hai Nishani bankr..,

Lekin Apno ki Yaad Hmesha aati hai,
Kabhi hotho pr Muskan to kabhi Palko me Pani bankr....

Ye Kiski Yaadein Hai

humsafar

Hum jo chale
tum bhi chalo saath
fir kya khabar
tujh bin sanam
bhaai na koi baat

kaise kaho
akele chalu aaj
aao sanam
sune hai dil ke saaz

kaise bhi rahe ho
kaise dagar ho
koi bhi rasta ho
koi bhi safar ho
chalte rahe hum
jo tu humsafar ho

Etbaar

Kabhee Tum Milo Kabhee Hum
Mulakato Kaa Yeh Silsila Yuhi Chaltaa Rahe

Yuhi Muskurate Raho Tum
Aur Ye Hasin Pal Ka Safar Yuhi Chalta Rahe
Shaam Ho Tandi Hawa Chale
Tumhari Kushbu Hum Yuhi Mehsus Karte Rahe

Raat Ho Chandini Ka Intezaar Na Rahe
Subah Ho To Roshni Ka Nazara Na Rahe

Tum Ho Sirf Tum
Tumhare Siva Humhe Kisi Ka Etbaar Hi Na Rahe…

jaan Tumse Pyar He Mujhe

Uske Iqrar Ka Intezar He Mujhe
Jane Q Usse Itna Pyar He Mujhe
Ae KHUDA Kab aayega Wo Hasin Pal
Jab Wo khud hi Kahegi
Hai jaan Tumse Pyar He Mujhe..

Hum jaise Dost

Hum jaise Dost hote nahi sabhi k liye,
ye tohfa hai kisi kisi k liye,
kyu jala rakhi hai shama bujha dijiye,
kya hum kam hai roshni k liye


milna bichdna sab kismat ka khel hai,
kahi nafrat kahi Dilo ka mel hai,
bik jata hai har rista dunia me,
sirf Dosti hi yaha "NOT FOR SALE" hai.


khamosh raat me sitare na hote,
meri ankho me rangin nazare na hote,
hum bhi na karte apki itni parwah...
agar aap itne Pyare na hote.


Muqaddar me likhi koi baat ho tum,
Taqdir ki ek soughat ho tum,
Kar ke Dosti tum se mehsoos hua,
jaise se sadiyo se yunhi mere sath ho tum.


Zindgi Mein Kuch Lamhein Khaas Ban Gaye,
Mile To Mulakat Ban Gaye, Bichhre To Yaad Ban Gaye,
aur Jo Dil Se Na Gaye,Wo AAP Ban Gaye.


Manzilo ki har Sadak aap ke naam,
Mohabbat ki har adaa aap ke naam,
Pyaar bhari har nigah aap ke naam,
Aur aaj labon par aane wali har Dua aapke naam.

Ghar se bahar wo naqaab me nikli

Ghar se bahar wo naqaab me nikli
saari gali unki firak me nikli
inkar karte the wo hamari mohabbat se
or hamari hi tasvir unki kitab se nikli

Bina Khwab K

Bina Khwab K Bhi Koi So Paya Hai,
Bina Yadon K Bhi Koi Reh Paya Hai,
Pyar Apka Dhadkan Hai is Dil Ki,
Bhala Dil Bhi Kabhi Bina Dhadkan K Reh Paya Hai.

Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do

Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do,
Mujhe Tum Apne AapMein Khone Do,
Apne Aapko Meri Aagosh Mein Karke,
Mujhe Pariyo Ke Des Mein Khone Do,
Apni Chudiyon Ki Khan Khan Se
Mere Kaanon Mein Ras Gholne Do

Un Haseen palo ko

Un Haseen palo ko yaad kar rahe the,
Aasmaan se aapki baat kar rahe the,
Sukun mila jab hume hawao Ne bataya,
Aap bhi hame yaad kar rahe the.

Teri Yad Me Aksr

Betab Se Rehte He Teri Yad Me Aksar
Rat Bhar Nhi Sote Teri Yad Me Aksar
Jism Me Dard Ka Bahana Sa Bana K
Hum Toot K Rote He Teri Yad Me Aksr

I Love You

Everytime you hurt me,
but, i dont get angry with you. Everytime it pains,
but, i dont say a word to you. Everytime you say sorry,
i forgive you on the spot.
Because..
Everytime you make a mistake,
i punish myself....
That's how much I Love You  

 

Maybe I fell for your smile

Maybe I fell for your smile,
or the way you always say what you mean...
without ever actually saying what you mean.
I don't know why or how, but I fell. So here it is,
my confession to you...
I'm insanely and unnaturally in love with you. 

Jab koi ehmiyat na rahi

Jab koi ehmiyat na rahi mere jeena ki….
jab kisi ko afsos na raha mere marn ka…
fir kyu unke bagair maine jeena nhi chaha….
to fir kyu unke jeene k liye maine marna chaha…..

eitabar

Kabhee Tum Miloo Kabhee Hum
Mulakato Kaa Yeh Silsila Yuhi Chaltaa Rahe

Yuhi Muskurate Raho Tum
Aur Ye Hasin Pal Ka Safar Yuhi Chalta Rahe

Shaam Ho Tandi Hawa Chale
Tumhari Kushbu Hum Yuhi Mehsus Karte Rahe

Raat Ho Chandini Ka Intezaar Na Rahe

Subah Ho To Roshni Ka Nazara Na Rahe

Tum Ho Sirf Tum

Tumhare Siva Humhe Kisi Ka Eitbaar Hi Na Rahe…

Hatho me hai lakiren hazar,
kisi me gum to kisi me khushiyan beshumar,
na jane vo kaun c lakir hai yaar,
Jisme likh diya khuda ne aap jaise Dost ka Pyar


Dur hai aap se to koi gam nahi,
Dur rahkar bhi bhulane wale hum nahi,
roz mulakhat na ho paye to kya...
aap ki yaad mulaqat se kam nahi.


apki Dosti ki ek nazar chahiye,
Dil hai beghar use ek Ghar chahiye,
Bas yun hi sath chalte raho ae Dost,
Ye Dosti hume umar bhar chahiye


Kuch rishte anjane me ho jate hai,
pehle Dil phir zindgi se jud jate hai,
kehte hai uss daur ko Dosti,
jisme Dil se Dil na jane kab mil jate hai.


apni wo mulakat kuch adhuri si lagi.
sath hoke bhi thodi doori si lagi,
hothon pe hasi ankhon me majburi si lagi,
mere Dost pahli baar kisi ki Dosti KhubSurat si lagi.


Ek hai asmaan ka tara, dusra hai samundar ka kinara,
bewafa hai zamana sara, naseeb hai achcha humara...
jo mila aap jaisa Dost Pyara Pyara..!!


Na chupana koi bat Dil me ho agar,
rakna thoda bharosa aap hum par,
hum nibhaege Dosti ka rishta is kadar,
ki bhulane par bhi na bhula paoge hume zindgi bhar.


Duriyo se farq padta nahi,
baat to Dil ki nazdikyo se hoti hai,
Dosti to kuch khas aap jaiso se hai...
warna mulaqat na jane kitno se hoti hai.


zindgi me baar baar ye mukaam aaye,
tum humare hum tumhare kaam aaye,
bus itni dua hai khuda se.....
ki agle janam me bhi tumhare Doston me humara naam aaye.


Waqt ki Dhoop ho ya tez barish,
Kuch kadamon k nishan nahi khote,
Jinhe yaad kar k Khush hoti hai Aankhe,
Wo log dur hokar bhi dur nahi hote..!!!


apna wo nahi jo paas aaye,
paraya wo nahe jo door chala jaye,
aane jaane se nahi banate apne paraye,
apna wo hai jo Dil me sama jaye.


koi hai jo mere liye DUA karta hai,
Koi hai jo apno me mujhe bhi gina karta hai,
bahot khushnaseeb samazhta hun khudko main,
Jo door rehkar bhi mujhe roz koi yaad kiya karta hai...!!


Pyar kahte hai.. Mohabbat kahte hai..
kuch log use bandagi kahte hai..
magar jinke sath hum Dosti karte hai..
hum unhe apni zindgi kahte.


Mere Dost hi nahi meri jaan ho tum,
meri har dhadkan mere iman ho tum,
jiski talaash thi mujhe janmon se...
wahi Khoobsurat armaan ho tum..!!


jitna Dostana paya hai apse,
us se aur jyada pane ko ji chahta hai,
jane vo kaun si Khubi hai aap me...
ki zindgi bhar Dosti nibhane ko ji chahta hai.


meri duaoo me shamil hai tu is tarha,
phoolo me hoti hai Khushboo jis tarha,
khuda teri zindagi mai itni khushiaan de Dost,
dharti pe hoti hai barish jis tarha,

TUM HAQIQAT HO KOI KHUAB NAHI

usne kaha tum mein pelhe jesi baat nahi
MENE KAHA ZINDAGI ME TERA SAATH NAHI.

 usne kaha ab bhi kisi ki aankho me doob sakti ho?
MENE KAHA KISI KI ANKHO ME WO BAAT NAHI.
usne kaha kyun itna toot kar chaha mujhe?
MAINE KAHA MUHOBBAT HAI KOI KHAYAL NAHI.

  usne kaha kya bewafa hun main?
MAINE KAHA MUJHE AB WAFA PAR AITBAR NAHI.

  usne kaha to bhul jao mujhe,
MAINE KAHA "TUM HAQIQAT HO KOI KHUAB NAHI".

Rafaqat

Karengy kiya Rafaqat Ho Gai To
Humen haasil Ye Chahat Ho Gai To ? ? ?

Mujhy Pehlo Mein Apnay Mat Bithana
Sharafat Sy Shararat Ho Gai To ? ? ?
Tere Kehnay Py Tumsy Roz mil Lon
Mujhy Tumsy Muhabbat Ho Gai To ? ? ?

Mujhy Maanga Hy Tumny Hunstay Hunstay

Teri Maqbool Hajat Ho Gai To ? ? ?

Mein Tumko Aaj Jaany B Agar Don

Tumhy Janay ki Aadat Ho Gai to ? ? ?

Hunso Mat Haal-e-Dil Py Is Tarha Sy

Tumhy B aysi Chahat Ho Gai To ? ? ?

Mohabbat

Mohabbat Zindagi Jine Ka Pegam Hoti He

Mohabbat Sab Risto Se Mahan Hoti He

Mohabbat K Bina Jina Bahut Muskil He
Kyo K 1 Mohabbat Me 2 Logo Ki Jaan Hoti He.

Chand lamhay

Chand lamhay bachay hai terey merey sath kay ,,
mumkin hai kay bichar jaiy bina mulaqat kay ,,

kaha ansoao ki ye sogat hogi ,,
naiy log hongaiy nai baat hogi ,,

mai har hal mai khoosh rahoo gee ,,
gar tumharee dosti merey sath hogi ,,

chirago ko mehfooz rakhna ankho mai ,,

badi door tak andheree raat hogi ,,

musafir hoo mai bhi musafir ho tum bhi ,,

phir kahi kisi mod pr mulaqaat hogi ,,

Dhadkan bina

Tamasha Bana Diya

Meri Zindgi Ko Ek Tamasha Bana Diya Usne
Bhari Mehfil Mein Tanha Bitha Dia Usne,

Aisi Kya Thi Nafrat Usko Mere Masoom Dil Se
Khushiyan Chura Kar Gham Thama Dia Usne,

Bohat Naz Tha Us Ki Wafa Pe Kabhi Hum Ko
Mujh Ko He Meri Nazron Mein Gira Diya Usne,

Kisi Ko Yaad Karna To Us Ki Fitrat Mein Shamil Nahi

Hawa Ka Jhonka Samjh Kar Bhula Diya Usne !

intezar

Dhalti hui sham ke saath..
Suraj ki Kirane bhi usse alvida kehti hai..

Waise hi Ugti hui shubha ke sath …
Chand ki chandni bhi usse alvida kehti hai..
Khush naseeb hai yeh dono ki rozana kuch waqt ke liye hi sahi,
unki mohhabat unke saath Hoti hai...

Aur ek or mai hoon jo ek lamha pane ke liye

aaj bhi rozanaa uske intezar mai hoon…

HAPPY RAiNY DAY

*_BarSat_*_ Bheegta Mosam Hai Kamzori Meri Laikin Main Yeh Rim Jhim, Ghataa, Baadal Apky Naam Krti Hoon.. HAPPY RAiNY DAY
Ye Haseen Mosam ye Hawaen ye barish...! 
 Lagta Hai Muhabat Ne Aaj Kisi Ka Sath Diya Hai...! 
*HAPPY RAINY DAY*

Fizao me Khushiyo ka pehra hai,
Dil na jane kis umeed par thahra hai,
Aankhon me jhalkte dard ki kasam,
Aapki Dosti ka rishta meri saanson se gehra hai.


Kuch uljhe hue sawalo se darta hai Dil,
Na jane kyon tanhai me bikharta hai Dil,
Doston ko pane ka khayal koi badi baat nahi,
Bus unko kho dene k khayal se darta hai Dil.


aapne kasam khayi thi Dosti ko nibhane ki,
Phir kyu karte ho batein hame satane ki...
Hum aapse issliye ladte hai sab ke samne,
Kyunki nazar lag jati hai rishto ko zamane ki.


waqt ki raahon me aap bhula de chahe hume,
par hum aapko bhula nahi payenge,
teri Dosti ki kasam ae Dost...
tum awaaz doge sapne me hum haqeeqat me chale aayenge.


Milte hai achche Dost sirf Khush naseebon ko,
isliye humari kismat se jalna chhod dijiye,
Tamanna ho agar humare DOST se mil ne ki,
to jakar AAINA dekh lijiye...!!


Ek Dost humne banaya, Socha na tha ki kya humne paya,
Tere sang jo chale do kadam...
to Jana ki tohfa khuda ne ek hume dilaya

Yaadein


Pyar Mein Kiye Waade.. Waade Hi Rahe..
Hum To Bhooli Bisri Si Yaadein Hi Rahe..
Haqeeqat Ke Aaieeno.n Mein Tadapte Aks The.....
Unke Sapno Ke Hum To Siraf Shehjaadi Hi Rahe..

Ansu

Zindgi Mein Ik Kahani Ansu..
Hasi Khushi Manmani Ansu..
Ik Ehsaas Baya.n Karte Huye
Kabhi Karte Baat Ruhani Ansu..


Mausam Jaisa Sawan Hai Waisa
Bachpan Budhapa Jawani Ansu..
Tanha Saath Nibhate Ansu.. 
Yaari Dosti Ik Nishani Ansu.. 
                                  

tamanna

  Us Ke Kehne Par Uski ♥ TaMaNna ♥ Bhi Chorr Di

Dekhtay Hai Kon Chahta Hai Usay Hamari Tarha 

dhundta hu

Toote huye khwabo me, haqiqat dhundta hu,
Pathhar ke dilo me mohabbat dhundta hu,
Nadan hu main, ab tak ye bhi nahi samjha,
Bejaan buto me, ibadat dhundta hu,
Mere jazbaato ki keemat, yaha kuch bhi nahi,
Beimani ke bazaaro me, sharafat dhun
dta hu,
Iss ajnabi duniya me, koi bhi apna nahi,
Gairo ki aankho me, apni surat dhundta hu,
Ummid ki thi pyar ki, bass yahi bhul thi meri,
Girte huye ashko me, apni hasrat dhundta hu...

Ehsaan

Ehsaan !tana Sa Kar de...
Mujhe Tu Fanha Sa Kar De...
Tanha!yan Me! Seh Na Sakung!...
B!n Tere Me! Jee Na Sakung!...
Tera Mera Ye Nata Kyun Tuta...
Tera Mera Ye Pyaar Kyun Rutha...
Adhur! Raate!n Adhur! Baate!n Reh Gay! Tere B!na...
Tu Nah! Raha Ter! Yaade!n Rah Gay!n...
Palkon Pe Mer! Ter! Aas Reh Gay!...
Ko! To Tar!ka Hoga Tujhko Bhula Dene Ka...

Yaadon ki kimat

Yaadon ki kimat wo kya jane
jo khud hi yaadon ko mita diya karte hain
yadoon ki kimat to unse pucho
jo yaadon ke sahare zindagi bita diya karte hai....!

hOw cAn

hOw cAn I fORgEt yOU wHen,
You ArE aLwAys oN mY miNd.

How CaN I nOt wAnt yOu,
wHen yOu ALL I wAnt inSidE.
how cAn I Let yOu go,,
WhEn I can't seE yOu aPArt,,,

hoW cAn I nOt loVE you,,

wHen yOU cOntRoL mY

"HEART"

ehsan kiya kar

Itna to mere haal par ehsan kiya
kar,
Ankhon se mera dard pehchan
liya kar,
Kuch sath de safar me bohat
thak gaya hon mein,
Kuch pal hon tere saath meri
maan liya kar,
Afsaney Mohabat k adhurey na
chor tu,
Jurm-e-Wafa ka mujhse har
bayan liya kar,
Muddat hui is AAS par thehra
hua hon mein,
Bhulay se kabhi tu bhi mera
naam liya kar
Kr apni zat se wabasta tu mujhe,
Ho kr Khafa muj se na meri jaan
liya kar

Mohabbat

"Mohabbat ke safar mein koi bhi
rasta nahi deta..
"Zameen waqif nahi banti , falak
saaya nahi deta..
"Khushi aur gham apney hee hote
hain..
"Kisi ko koi bhi apna ,ek lamha tak
nahi deta..
"Udaasi jis ke dil mein ho usi ki
neend urti hai..
"Kisi ko apni aankhon se , koi
sapna nahi deta..
"Uthaana khud hi padta hai ,
thakha toota badan apna..
"Ke saans jab talak chalti. hai , koi
kandha nahi deta...

Sharab Jaisi Ho

Tum Haseen Ho Gulab Jaisi Ho... Bahut Nazuk Ho Khawab Jaisi Ho...
Dil ki dhadkan main aag lagati Ho...
Hothon Se Lagakar Pee Jayoon Tumhe Sir Se Paanv Tak Sharab Jaisi Ho…



Har rishta milta hai virasat me,
phir Dosti kyu alag se banai hai,
kyuki baaki rishte banaye khuda ne,
aur Dosti khud khuda ki parchai hai.


mangta hun teri Dosti iss jahan k badle,
jab bhi dum nikle teri Dosti me he nikle,
daur ho khushi ka ya gam ka sambhaleinge tujheko,
uske baad parvah nahi ki hum sambhle na sambhle.


Muddat se door the hum tum,
Ek zamane k baad milna achcha laga,
Sagar se gehri lagi aapki dosti,
Tairna to ata tha par..doob jana achcha laga


Muddat se door the hum tum,
Ek zamane k baad milna achcha laga,
Sagar se gehri lagi aapki dosti,
Tairna to ata tha par..doob jana achcha laga


kaato me rahkar bhi zindagi jee lete hai,
har jakhmo ko apne hatho se si lete hai,
jis hath ko kah diya DOSTI ka hath,
us hath se jahar bhi p lete hai.


apke pass Dosto ka khazana hai,
par ye Dost aapka purana hai,
is Dost ko bhula na dena kabhi,
kyu ki ye Dost aapki Dosti ka Deewana hai.


Raat ki khamoshi raas nahi aati,
meri parchai bhi ab mere paas nahi aati,
aati hai to bas apki yaad.....
jo aakar ek pal bhi mujhse dur nahi jati.


Muskurahat ka koi mol nahi hota,
kisi kisi risto ka koi tol nahi hota,
vaise to hazaro mil jate hai har rasto par,
par koi aapki tarah ANMOL nahi hota

Haar pehnanay mujhe phool say baazu aaye



Waqt-E-RuKhsat kaheen taaray kaheen jugnu aaye
Haar pehnanay mujhe phool say baazu aaye

Bas gayi hai meray ehsaas mein yeh kaisi mahek
koi Khushbuu main lagaaoon teri Khushbu aaye

Main nay din raat Khuda say yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar pay meray aur tu aaye

Us ki baatein kay gul-o-laala pay shabnam barsay
Sab ko apnaanay ka us shouKh ko jaadu aaye

In dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai
ShouKh khaaya hua jaisay koi aahu aaye

Us nay chu kar mujhe patthar say phir insaan kiya
Muddaton baad meri aankh mein aansoo aaye