Jab Bhi Deta Hai Wo....


Jab Bhi Deta Hai Wo Kuch Mujhe To Saza Deta Hai
Par Us Ki Chahat Main Trapna Bhi Maza Deta Hai

Jab Kabhi Kholey Hai Wo Sar-E-Shaam Zulfain Apnain
To Pir Us Ka Chalna To Fizaon Ko Nasha Deta Hai

Us Ki Ankhon Main Hai Shayed Geelon C Gheharai
Dikhney Wala To Usey, Bchaney Ki Sada Deta Hai

Us Ki Baaton Main Sahar Hai, Or Adawon Main Nashah
Milney Wala To Usey Apni Jaan Ghanwa Deta Hai

Jo Bhi Dekhey Usey SAJID, Us Ka Dewana Ho Jaey
Marney Wala Bhi Usey, Jiney Ki Dua Deta Hai.

Sarapa Teri Yaad Mein Jal Chuka Houn

Sarapa teri yaad mein jal chuka hoon,
Sar-e-shaam shamma jalatay jalatay.

Sabab kya hai main roo para hoon,
Bhari mehfil ko hansatay hansatay.

Mita na tera naam dil mit gaya hai,
Tera naam dil say mitatay mitatay.

Humein chhor kar chaly ghair ke sung,
Wo hathon ki mehandi dikhatay dikhatay.

Agar ho sakay to bhula dena mujhko,
Humein keh gaya wo yoon jatay jatay.

Muhabbat ko panay main arsa laga hai,
Zamany lagain gay bhulatay bhulatay.

Aray Daikh “ANJUM” mai khud jal gaya hoon,
Angaaron say un ko bachatay bachatay

Aaj Youn Mosam Ne Di Jashan-e-Mohabbat ki Khaber.


Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber
Phoot phoot k ronay lagay hain, main mohabbat aur tum

Hum ne joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastay khonay lagay hain, main mohabbat aur tum

Chaand ki kirnon ne hum ko iss terha bosa diya
Devta hone lagay hain, main mohabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastanain oarh ker
Khuwab main sonay lagay hain, main mohabbat aur tum

Kho gae awaz bhi , andaaz bhi , alfaaz bhi
Khamoshi dhoondne lagay hain, main mohabbat aur tum

Falak Pe Chand Ke Haale Bhi Sog Karte Hain


Falak pe Chaand ke haale bhi sog kerte hain
Jo too nahi toh ujaale bhi sog kerte hain

Nagar nagar mein woh bikhre hain zulum ke manzar
Hamari rooh ke chhalay bhi sog kerte hain

Usay kaho sitam mein woh kuch kami kerde
Ke zulum torne waale bhi sog kerte hain

Tum apne dukh pe akele nahi ho afsurda
Tumhare chahne waale bhi sog kerte hain

Manzil-e-Gham Ki Fizaon Se Lipat Ke Ro Lon

Manzil-e-gham ki fizaon se lipat k ro lon
Tere daman ki hawaon se lipat k roo lon

Jaam-e-mai peene se pahle mera ji chahta ha
Bikhri zulfon ki ghataon se lipat k ro lon

Zard ganchon ki nigahon men nigahen dalon
Surkh pholon ki qabaon se lipat kar ro lon

Ane wale ter raste men bichaon ankhen
Jane wale tere qadmon se lipat k ro lon

Apne majboor taqaddus k sahare
Deer-o-kaaaba k khudaon se lipat k ro lon

Ye Rang-e-Gul Bhi Hai Or Bahar Bhi Hai


Ye Rang-e-Gul Bhi Hai Or Bahar Bhi Hai
Zubaan Chalti Hui Taalwar Bhi Hai

Ajab Hai Bolti Aankhon Ki Masti
Jahan Inkar Bhi Hai Iqrar Bhi Hai

Ye Raah-e-Ishq Hai Chalna Sambhal Kr
Bohat Aasan Bhi Hai Dushwar Bhi Hai

Ajab Do Rang Hai Insan Ki Fitrat
Gila Hai Jis Se Us Se Payar Bhi Hai......!

Raat Din Hijar Ki Wehshat

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw?wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai??!!!!

Din Saliqe Se Ugaa Raat Thikaane Se Rahi


Din Saliqe Se Ugaa Raat Thikaane Se Rahi
Dosti Apni Bhi kuch Roz zamaane Se Rahi,

Chand Lamhon ko Hi Banati Hain Musavir Aankhen
zindagi Roz To Tasveer Banane Se Rahi,

Is Andhere Mein To Thokar Hi Ujaala Degi
Raat Jangal Mein koi Shama Jalaane Se Rahi,

Faasla Chaand Bana Deta Hai Har Patthar ko
Door ki Roshni Nazdeek To Aane Se Rahi,

Shaher Mein Sab ko kahaan Milti Hai Rone ki Fursat
Apni Ezzat Bhi Yahaan Hansane-Hansaan e Se Rahi.

Mohabbat Na Rahe Tou Phir

Mohabbat Na Rahe Tou Phir Raha Kuch Bhi Nahi Kerta
k Itni Taiz Aandhi Main Bachaa Kuch Bhi Nahi Kerta

Wo Mujh Ko yaad Rakhna Ab Gawara Hi Nahi Kerta
Main Jis Ko Yaad Rakhne K Siwa Kuch Bhi Nahi Kerta

Kaha Tha Tujh Se Nadaan k Zulm Ki Taiz Baarish Main
Siwaye Kachy Makano'n k Gira Kuch Bhi Nahi Kerta

Tere Galay Mein Jo Baahon Ko Daal Rakhte Hain

Tere Galay Mein Jo Baahon Ko Daal Rakhte Hain
Tujhe Mana'ane Ka Kaisa Kamaal Rakhte Hain

Tujhe Khabar Hai Tujhe Sochne Ki Khatir Hum
Bahut Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakhte Hain

Koi Bhi Faisla Hum Soch Kar Nahi Karte
Tumhare Naam Ka Sikka Uchhal Rakthe Hain

Tumhare Baad Yeh Aadat Si Ho Gayi Apni
Bikharte Sookhte Patte Sambhal Rakhte Hain,

Khushi Si Milti Hai Khudko Aziyatein De Kar,
So Jaan Bujh Ke Dil Ko Nidhaal Rakhte Hain,

Kabhi Kabhi Wo Mujhe Hans Ke Dekh Laitey Hain
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayal Rakhte Hain

Guzishta Saal July Main


Tumhain Yaad Hay Jaana ?

Guzishta Saal July Main
Isi Tarha Ka Mousam Tha

Jab Tum Ne Kaha Tha Mujhse
Chalo Hum Naam Badalte Hain

Koi Ache Se Farzi Naam Rakho
Tum Apne Aur Mere

Haan !! Us Waqt Tumahri Baat
Main Ne Un Suni Kar Di Thi

Magar Jab Se Lagi Hay Thoker
To Hain Kuch Naam Zehan Main Aye

Aaj Isi July Main

Wo Farzi Naam Rakhe Hain..

Mera Naam Aaj Se “Tanha”
Aur
Tumhra Naam "Mousam" Hai

Ke Tanha, Ana Parast Tehra !!
Aur Mousam, Bewafa Jaana..

ISHQ me Mera

ISHQ me Mera TooTna to Lazim Hi Tha....
Kaanch ka DIL Tha.... aur Mohabbat PATTHAR se Ki......!!!