Din Saliqe Se Ugaa Raat Thikaane Se Rahi


Din Saliqe Se Ugaa Raat Thikaane Se Rahi
Dosti Apni Bhi kuch Roz zamaane Se Rahi,

Chand Lamhon ko Hi Banati Hain Musavir Aankhen
zindagi Roz To Tasveer Banane Se Rahi,

Is Andhere Mein To Thokar Hi Ujaala Degi
Raat Jangal Mein koi Shama Jalaane Se Rahi,

Faasla Chaand Bana Deta Hai Har Patthar ko
Door ki Roshni Nazdeek To Aane Se Rahi,

Shaher Mein Sab ko kahaan Milti Hai Rone ki Fursat
Apni Ezzat Bhi Yahaan Hansane-Hansaan e Se Rahi.