Wo na Aaye

Wo na Aaye Un ki Yaad Aa ker Wafa Ker Gai

Unse Milne Ki Tamanna SukOon Tabah Ker Gai

Aahat Hui Socha Asar Dua Ker gai

Darwaza Khula To Dekha Mazaq Hum Se hawa Ker gai.. </3 

Aahat Aahat intezaar kar ke dekhna


Aahat Aahat intezaar kar ke dekhna
kabhi kissi say pyar kar ke dekhna

Toot jatey hain khoon ke rishtay bhi
Ghaltiyaan do-chaar kar ke dekhna

Agar zindagi ka falsaffa samajhna ho
barish me kachchi dewaar kharhi kr k dekhna

Kaee janam beet jayein gay janaa
kabhi meri mohabbatein shumaar kr k dekhna

Haal-e-Dil

Haal-e-Dil may nai jo duniya ko sunana chaaha.
Mujh ko har shakhs ne dil apanaa dikhana chaahaa.
Ghairat-e-mauj usey phaink gayi sahil par.
Dubney waley nai jab shor machana chaahaa...</3

Hum aah bhar chuke hain wo muskura chuke hain.

Hum aah bhar chuke hain wo muskura chuke hain
do mukhtalif iraade tewar dikha chuke hain

ai daastaan-sara ab kisse ko khatam ker de
bhatke hue musafir manzil pe aa chuke hain

ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana
hum tere gesuoon ke halke mein aa chuke hain

ai shorishe-talatum , ab kisko dhoondti hai
muddat hui safeene saahil pe aa chuke hain

ab dil ki khalwaton mein tum aake kya karoge
hum aarzzon ki shammain kab se bhuja chuke hain

Aadawtain kab tak.....!!

Aadawtain kab tak bharha k rakhay ga.
ye chahtain kab tak chopa k rakhay ga .

Main ghair hon ye kab tak bataay ga khud ko .
Tu Dil ko kab tak samja k rakhay ga.

Mana Aana perasat hai tu bhi jlay ga umer sari
Atish-e-Ishaq se khud ko kab tak bacha k rakhay ga .

Meri nazroon ko na sahi lafzoon ko to samjta ho ga.
Meri chahatoon ko tu kab taak dubaa k rakhay ga.

Ye Aana bhi Ghazab ki chiz hai jala diti hai sab.
Ye payyar Ishq mohabat tera sab kuch jala k rakay ga

Ek Yehi Roshni Imkaan Mei Hai

Ek Yehi Roshni Imkaan Mei Hai
Tuu Abhi Tak Dil-e-Veeran Mei Hai

Shor Barpa Hay Teri Yaadon Ka
Ronaq-e-Hijar Bayabaan Mei Hai

Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hai
Koi Zinda Dil-e-Be-Jaan Mei Hai

Aaj Bhi Terey Badan Ki Khushbuu
Terey Bhejay Howay Guldaan Mei Hai

Zindagi Bhi Hay Meri Aankhon Mei
Mout Bhee Deeda-e-Hayraan Mei Hai

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se
Ek Qaidi Abhi Zindaan Mei Hai...

Zawal-e-shab main Sitaroon Ne Sath Chor Diya...


Zawal-e-shab main
sitaroon ne sath chhorr diya,


“saba chali to chiragoon ne
sath chhorr diya,


“mila jo mouqa mujhe un se
baat krne ka,


“Mere naseeb k lafzon ne
sath chhorr diya,


“woh ‘roo ba roo’ thi magar
uss ko dekhte kaise,


“Woh rang’o noor thi
Aankhon ne sath chhorr diya……

Toota Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo


Toota Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo
Tarpa Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo

Kehta Nahi Kisi Say Magar Jantay Hain Hum
Roya Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo

Phaila K Apnay Gird Tasaweer Aur Khatoot
Bikhra Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Woh

Raat K Andheron Main Tanhion K Beech
Jaga Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo

Dehleez Per Puranay Zamano Ka Muntazir
Betha Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo

Uthtey Qadam Humari Taraf Ruktay Howay
Uljha Zaroor Hoga Bicharnay K Bad Wo

Her Zakham Ka Ilaaj Maseehaai Main Nahi
Samjha Zaror Hoga Bicharnay K Baad Wo

Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….

Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….
Jaane Kis Kis Ke Ghar Gayi Hogi …..

Chandni Ek Shab Ki MehmaaN thi…..
Subah Hote Hi Mar Gayi Hogi……

Dair Tak Wo Khafa Raha Hai Mujh se….
Door Tak Ye Khabar Gayi Hogi……

Ik Darya Ke Rukh Badalte Hi….
Ik Nadi Phir Utar Gayi Hogi……

Jis Taraf Wo SafaR Pe Nikla Tha…..
Saari RonaQ udhar Gayi Hogi…..

Meri YaadoN Ki Dhoop Chaaon Mein….
uski Soorat Nikhar Gayi Hogi…..

Ya Ta’luq Na Nibh Saka Us se….
Ya TAbiyat Hi Bhar Gayi Hogi…..!

Wafayen mangtey phirtey hain

Wafayen mangtey phirtey hain faqeroon ki tarah,,
Ajeeb log hain kehtey hain mohabbat ki hai...!!

Kisi ko jodne mein

Kisi ko jodne mein itne magan they,
Hosh tab aya jab apne wajood ke tukdey dek

Idhar aao

Idhar aao iss baat pey bosa ley loon,,
mere sar ki jhooti qasam khane waale..!!

Khoobiyaan itni to nahi ham main....