Hum aah bhar chuke hain wo muskura chuke hain.

Hum aah bhar chuke hain wo muskura chuke hain
do mukhtalif iraade tewar dikha chuke hain

ai daastaan-sara ab kisse ko khatam ker de
bhatke hue musafir manzil pe aa chuke hain

ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana
hum tere gesuoon ke halke mein aa chuke hain

ai shorishe-talatum , ab kisko dhoondti hai
muddat hui safeene saahil pe aa chuke hain

ab dil ki khalwaton mein tum aake kya karoge
hum aarzzon ki shammain kab se bhuja chuke hain