tu nay socha

tu nay socha he nhi kuch bhi hata kar us say
ab bicharna hai to phir khud ko juda kar us say

woh bigarrta hai to duniya he bigarr jati hai
is liay rakhni parri mujh ko bana kar us say
aik jugnu tha magar us say jalay kitnay chiragh
raabtay barhtay gaey rabt barha kar us say

baat kya hai keh uthaaii he na jaayen palken?

baat ho jab bhi to palkon ko jhuka kar us say

mein kahani men kahin hoon keh nhi hoon ay dil

poochna ho ga kisi roz bitha kar us say

kis terah us pay teray dard ka manzar khulta

tuu muhabbat bhi to karti thi chhupa kar us say

lehar jis tarah kinaray ko chhuay aakhri baar

aisa mehsoos hua haath mila kar us say