Shayari Collection Mix - 2

(1)
Jab se tumhe dekha tumhara deewana bangaya,
     Tumhari muskurahat ne hame madhosh kardiya,
           Tumko bhi pata na chala, kaise humne tumhara dil churaliya...
 
(2)
Aisa lagtaa hai, ke saaree khubsuratee tuj mein samaagaye
       Raahon mein chalte ho, to nazarein tuj par rekhtee hai,
              Andheraa jeevan bhi, tuj se roshan ho jata hai...
 
(3)
Mere dilki har dharkan tumhare liye hai,
             Meri har muskurahat tumhari nadaani ke liye hai,
Tumhari har ada mere dilko churane ke liye hai,
             Abh to meri zindagi tumhare intezaar ke liye hai...


(4)
Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
            Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
             Tumko bewafa kehne ka kabil na raha...
 
(5)
Bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte,
             Agar tumse pyar na hota to tumhe bewafa kaise kehte,
Phirbhi tumne mere pyar ka aisa sila diya hai,
              Ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti hai...
 
(6)
Mere dil to tere pyar me itna pagal hai,
               Jo sab ko chorke tere paas rehta hai,
Yaha tak ke muje uski zarurat hai,
                Phirbhi mere paas ake usne dharakna chordiya hai...
 
(7)
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
               Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye
Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha
               Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye...
 
(8)
Apnon ne maara hai humko
          Gairon mein kahan tha dum
Kashti bhi apni to doobi
           Paani jahan tha kam...
 
(9)
Mera ikraar tere inkaar se behatar hoga
           Mera din bhi teri raat se behtar hoga
Yakeen nahin to dolee se jhankke dekhna
           Mera janazaa teri baaraat se behatar hoga...
 
(10)
Us falak ke teer ka kya nishana tha
          Jahan thee meri manzil wahin mera aashiyana tha
Bas pahunch hi rahi thi kashti saahil pe
         Is toofan ko bhi abhi hi aana tha...