Na koi khawab na koi saheli thi

Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat me main akeli thi
ishq me tum kahaan k sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jheli thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha k rakh diya dil ko
woh mohaabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jaan le li thi
waqt k sanp kha gaaye usko
meray aangan main ik chambeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi